qaidi
ek baar apnā banā kar jo mujhe chhoḌ ga.ī
usī rūThī huī ḳhushbū kā pujārī huuñ maiñ
har guzartī huī āvāz bulātī hai mujhe
lamha lamha mirī pursish ke liye aatā hai
sub.h kī pahlī kiran pūchhtī hai naam mirā
shaam kā saaya mujhe chhū ke chalā jaatā hai
har darīcha mujhe taktā hai baḌī hasrat se
aur havā DhūñDhtī phirtī hai mire ġham ke charāġh
mujh se har raat ye kahtī hai mirī samt aao
mujh se har chāñd ne māñge haiñ mirī ruuh ke daaġh
maiñ kisī ko na sunā.ūñgā kahānī apnī
kuchh kahūñgā to maiñ us raah meñ kho jā.uñgā
aur jis roz ye zanjīr mirī TuuT ga.ī
mujh ko Dar hai maiñ kisī aur kā ho jā.uñgā
ek bar apna bana kar jo mujhe chhoD gai
usi ruThi hui KHushbu ka pujari hun main
har guzarti hui aawaz bulati hai mujhe
lamha lamha meri pursish ke liye aata hai
subh ki pahli kiran puchhti hai nam mera
sham ka saya mujhe chhu ke chala jata hai
har daricha mujhe takta hai baDi hasrat se
aur hawa DhunDhti phirti hai mere gham ke charagh
mujh se har raat ye kahti hai meri samt aao
mujh se har chand ne mange hain meri ruh ke dagh
main kisi ko na sunaunga kahani apni
kuchh kahunga to main us rah mein kho jaunga
aur jis roz ye zanjir meri TuT gai
mujh ko Dar hai main kisi aur ka ho jaunga
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 157)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.