qasr-e-viran
maiñ us ko taktā rahtā huuñ
jo farruḳh-zād kī ġhazloñ
kī sūrat ḳhūbsūrat hai
ki jis ke phuul se tan ko
kisī rangīn titlī ke
rasīle mo'atabar hoñToñ
ke bosoñ kī zarūrat hai
vo ik shahkār hai shāyad
ḳhudā-e-pāk ke fan kā
ki jis kī sādgī meñ bhī
hai raqsāñ husn kā jaadū
kamar siina ho gardan ho
ki us ke dast aur baazū
tarāsheñ sab kī aisī haiñ
ki jaise la.al ke chāqū
jabīñ par maah kā jalva
aur us par abr ke gesū
sulagte gore gāloñ par
shafaq ke ġhāze kī ḳhushbū
gulāboñ se phaḌakte lab
aur us par pyaas be-qābū
haiñ nargis kī tarah us kī
chamaktī jhiil sī āñkheñ
magar be-nūr haiñ aisī
ki jaise tang ġhāroñ kī
siyah palkoñ pe Thahre hoñ
añdherī raat ke aañsū
ye manzar ruuh par merī
pighalte shīshoñ kī sūrat
muqattar hotā rahtā hai
ki jis kī sozishoñ meñ maiñ
taḌaptā chīḳhtā rahtā
huuñ sub.h-o-shām har ik pal
ki merī dhaḌkanoñ sāñsoñ
ko chāhe munjamid kar do
magar is ḳhūb-rū duniyā
ke tārīk āsmānoñ ko
mirī āñkhoñ ke tāroñ se
jahāñ tak ho sake bhar do
ye sun kar qasr ke saare
dar-o-dīvār par tūfāñ
sā barpā hone lagtā hai
ki ai nādān shahzāde
tū aisā kar nahīñ saktā
junūñ kī ujḌī māñgoñ meñ
tū afshāñ bhar nahīñ saktā
tirī dhaḌkan tirī sāñseñ
tirī ḳhvāboñ se pur āñkheñ
tire ajdād ke sūraj
kī kirnoñ kī amānat haiñ
jo shāhī taḳht par raushan
charāġhoñ kī zamānat haiñ
main us ko takta rahta hun
jo farruKH-zad ki ghazlon
ki surat KHubsurat hai
ki jis ke phul se tan ko
kisi rangin titli ke
rasile mo'atabar honTon
ke boson ki zarurat hai
wo ek shahkar hai shayad
KHuda-e-pak ke fan ka
ki jis ki sadgi mein bhi
hai raqsan husn ka jadu
kamar sina ho gardan ho
ki us ke dast aur bazu
tarashen sab ki aisi hain
ki jaise lal ke chaqu
jabin par mah ka jalwa
aur us par abr ke gesu
sulagte gore galon par
shafaq ke ghaze ki KHushbu
gulabon se phaDakte lab
aur us par pyas be-qabu
hain nargis ki tarah us ki
chamakti jhil si aankhen
magar be-nur hain aisi
ki jaise tang ghaaron ki
siyah palkon pe Thahre hon
andheri raat ke aansu
ye manzar ruh par meri
pighalte shishon ki surat
muqattar hota rahta hai
ki jis ki sozishon mein main
taDapta chiKHta rahta
hun subh-o-sham har ek pal
ki meri dhaDkanon sanson
ko chahe munjamid kar do
magar is KHub-ru duniya
ke tarik aasmanon ko
meri aankhon ke taron se
jahan tak ho sake bhar do
ye sun kar qasr ke sare
dar-o-diwar par tufan
sa barpa hone lagta hai
ki ai nadan shahzade
tu aisa kar nahin sakta
junun ki ujDi mangon mein
tu afshan bhar nahin sakta
teri dhaDkan teri sansen
teri KHwabon se pur aankhen
tere ajdad ke suraj
ki kirnon ki amanat hain
jo shahi taKHt par raushan
charaghon ki zamanat hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.