qatra
paanī ke ek qatre ne Tapak kar sochā
maiñ kyoñ Tapak gayā huuñ
sirf mujh se zamīn kī pyaas nahīñ bujh saktī
insān kā halq nahīñ bhiig saktā
koī zaḳhm nahīñ dhul saktā
koī chiiz nahīñ bhar saktī
us kī āñkheñ bhiig ga.iiñ
tab ek pahāḌ bolā
mat ro.o apnī āñkheñ saaf kar lo
tum be-masraf nahīñ
maiñ jo tum se Dartā huuñ
ki tum agar chāho to merā jigar to chhed hī sakte ho
qatre ne apne aañsū pī liye
aur phail kar jahāñ ban gayā
pani ke ek qatre ne Tapak kar socha
main kyon Tapak gaya hun
sirf mujh se zamin ki pyas nahin bujh sakti
insan ka halq nahin bhig sakta
koi zaKHm nahin dhul sakta
koi chiz nahin bhar sakti
us ki aankhen bhig gain
tab ek pahaD bola
mat roo apni aankhen saf kar lo
tum be-masraf nahin
main jo tum se Darta hun
ki tum agar chaho to mera jigar to chhed hi sakte ho
qatre ne apne aansu pi liye
aur phail kar jahan ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.