uTh ki miTā jaatā hai qaum kā saarā vaqār
dāman-e-izz-o-vaqār
dast-e-ġhulāmī se taar
ho bhī zarā hoshiyār
mard-e-zalālat-shi.ār
uTh ki miTā jaatā hai qaum kā saarā vaqār
nūr-e-guhar-bār ban parda-e-zulmat nahīñ
lamha-e-rāhat nahīñ
arsa-e-ishrat nahīñ
pahlī sī rif.at nahīñ
aglī sī shaukat nahīñ
nūr-e-guhar-bār ban parda-e-zulmat nahīñ
tū vahī insān hai tā-ba-falak jo gayā
rif.at-e-parvāz lā
auj-e-surayyā pe jā
sarmadī naġhma sunā
sote huoñ ko jagā
tū vahī insān hai tā-ba-falak jo gayā
soz nahīñ saaz ban ġhaib kī āvāz ban
mulk kā shahbāz ban
qaum kā dam-sāz ban
sūrat-e-e.ajāz ban
tāqat-e-parvāz ban
soz nahīñ saaz ban ġhaib kī āvāz ban
qaum tabāh aur tū haif ki ḳhāmosh hai
dil meñ na kuchh josh hai
mahv-e-ġham-e-dosh hai
aish meñ mad.hosh hai
ahd-farāmosh hai
qaum tabāh aur tū haif ki ḳhāmosh hai
niiñd ke maato uTho pheñk do jām-o-ayāġh
bujh gayā qaumī charāġh
luT gayā millat kā baaġh
dho bhī do zulmat kā daaġh
dil kā lagāo surāġh
niiñd ke maato uTho pheñk do jām-o-ayāġh