qissa nai lakiron ka
abhī to nazroñ ke lab pe taaza
lahū meñ Duube har ek manzar kā zā.iqa hai
ġhamoñ ke patthar kī nok ne jo
diloñ ke shīshe pe
ek katba likhā thā
ab bhī chamak rahā hai
lab-o-sadā ke
har ek rishte meñ
bū lahū kī basī huī hai
abhī to puurī sadī bhī guzrī nahīñ hai
tum to abhī se
miTTī kī soñdhī ḳhushbū
kī khoj meñ ho
abhī to mausam ke qāfiloñ ko
nazar ke sunsān rāstoñ se
ka.ī sadī tak guzarnā hogā
ki rafta rafta hī
aa.ine par
na.e ta'alluq kī dhuul kī tah
dabīz ho ga.ī
ham apnī unglī se us pe qissa
na.ī lakīroñ kā likh sakeñge
abhi to nazron ke lab pe taza
lahu mein Dube har ek manzar ka zaiqa hai
ghamon ke patthar ki nok ne jo
dilon ke shishe pe
ek katba likha tha
ab bhi chamak raha hai
lab-o-sada ke
har ek rishte mein
bu lahu ki basi hui hai
abhi to puri sadi bhi guzri nahin hai
tum to abhi se
miTTi ki sondhi KHushbu
ki khoj mein ho
abhi to mausam ke qafilon ko
nazar ke sunsan raston se
kai sadi tak guzarna hoga
ki rafta rafta hi
aaine par
nae ta'alluq ki dhul ki tah
dabiz ho gai
hum apni ungli se us pe qissa
nai lakiron ka likh sakenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.