Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qisse wala

Faragh Rohvi

qisse wala

Faragh Rohvi

MORE BYFaragh Rohvi

    dekho qisse vaalā aaya

    qissoñ se hai bharā piTārā

    jaise qisse chāho sun lo

    aao ḳhud qisse chun lo

    ham baiThe haiñ piTārā khole

    ye sun kar kuchh bachche bole

    hameñ sunā.eñ aisā qissa

    jis meñ nahīñ ho rājā-vājā

    to phir sun lo jin bhūtoñ

    ye qissa hai baḌā Daronā

    nahīñ nahīñ sab hue purāne

    sunñe haiñ ab na.e fasāne

    na.e jahāñ sair karā.eñ

    aise qisse hoñ to sunā.eñ

    ham Thahre is daur ke bachche

    ham sunte haiñ modern qisse

    net par qisse chun lete haiñ

    ḳhvāb āñkhoñ meñ bun lete haiñ

    qissa anokhā hameñ sunā.eñ

    varna apnī dukāñ baḌhā.eñ

    dekho qisse wala aaya

    qisson se hai bhara piTara

    jaise qisse chaho sun lo

    aao KHud hi qisse chun lo

    hum baiThe hain piTara khole

    ye sun kar kuchh bachche bole

    hamein sunaen aisa qissa

    jis mein nahin ho raja-waja

    to phir sun lo jin bhuton ka

    ye qissa hai baDa Darona

    nahin nahin sab hue purane

    sunne hain ab nae fasane

    nae jahan ki sair karaen

    aise qisse hon to sunaen

    hum Thahre is daur ke bachche

    hum sunte hain modern qisse

    net par qisse chun lete hain

    KHwab aankhon mein bun lete hain

    qissa anokha hamein sunaen

    warna apni dukan baDhaen

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now