qiston mein KHwab
maiñ jab chhoTā thā
to chalte chalte ḳhvāb dekhā kartā thā
aksar maiñ sirf ḳhvāb dekhne ke liye hī chaltā thā
sub.h ko dopahar ko shaam ko
raat ko gahrī niiñd sotā thā
jo gahrī niiñd sote haiñ vo ḳhvāb nahīñ dekhte
saare ḳhvāboñ kā markazī kirdār maiñ hī huā kartā thā
magar mere qarībī aur pyāre log bhī us meñ shāmil rahte the
mere ḳhvāb tavīl aur manzūm hote the
aur maiñ aksar un meñ tarmīm kiyā kartā thā
kuchh ḳhvāb jo dil ko na bhāte the
unheñ chhoḌ kar na.e ḳhvāb kī shurūāt kartā thā
ab maiñ raat bhar
aur ḳhaas kar sub.h ko
qistoñ meñ ḳhvāb dekhtā huuñ
adh-jale ḳhvāb
kuchh ḳhvāboñ se najāt miltī hai
to jī ḳhush ho jaatā hai
saare ḳhvāb jaane pahchāne hote haiñ
mānūs ḳhvāb
tafsīlī ḳhvāb
kuchh ḳhvāb roza-marra kī tafsīloñ se vāzeh
kuchh suhāne ḳhvāb jab ruk jaate haiñ
to unheñ dekhne kī nākām koshish kartā huuñ
ḳhvāb ḳhud nahīñ dohrāte
an-dekhe ḳhvāb
ab ḳhvāboñ kī duniyā meñ haiñ
main jab chhoTa tha
to chalte chalte KHwab dekha karta tha
aksar main sirf KHwab dekhne ke liye hi chalta tha
subh ko dopahar ko sham ko
raat ko gahri nind sota tha
jo gahri nind sote hain wo KHwab nahin dekhte
sare KHwabon ka markazi kirdar main hi hua karta tha
magar mere qaribi aur pyare log bhi us mein shamil rahte the
mere KHwab tawil aur manzum hote the
aur main aksar un mein tarmim kiya karta tha
kuchh KHwab jo dil ko na bhate the
unhen chhoD kar nae KHwab ki shuruat karta tha
ab main raat bhar
aur KHas kar subh ko
qiston mein KHwab dekhta hun
adh-jale KHwab
kuchh KHwabon se najat milti hai
to ji KHush ho jata hai
sare KHwab jaane pahchane hote hain
manus KHwab
tafsili KHwab
kuchh KHwab roza-marra ki tafsilon se wazeh
kuchh suhane KHwab jab ruk jate hain
to unhen dekhne ki nakaam koshish karta hun
KHwab KHud nahin dohraate
an-dekhe KHwab
ab KHwabon ki duniya mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.