qudrat ki flashlight
raat ke naqsh ujaal kar
bālTī meñ bhar diye ga.e
chāñd jin meñ
apnī kirnoñ ke motī uchhāltā thā
jaltī huī hathelī par kis ne rakhā thā chāñd ko
vo haath apne mal rahī thī
ā.īna dekhtā thā
manzaroñ ke dūsrī taraf
bheḌiyā apnī gambhīr āvāz fazā meñ bikhertā
bastiyoñ meñ ḳhauf uñDeltā thā
scrēn kā parda badal do
ā.īne ko dekhne do
sub.h-e-nau motiye kī taaza ḳhushbū
dālān meñ abbā jī ke saath chaa.e piinā
schōl kā bag uThā.e lambī saḌak kā safar
use dekhne do
vo sabz khilkhilāte manzar
are
lamp bujhā diyā gayā
sabhī manzar ulaT diye ga.e
ai chakkar lagātī huī chamgādaḌ tū hī batā
qudrat kī flashlight kis ke haath meñ hai
raat ke naqsh ujal kar
baalTi mein bhar diye gae
chand jin mein
apni kirnon ke moti uchhaalta tha
jalti hui hatheli par kis ne rakha tha chand ko
wo hath apne mal rahi thi
aaina dekhta tha
manzaron ke dusri taraf
bheDiya apni gambhir aawaz faza mein bikherta
bastiyon mein KHauf unDelta tha
screen ka parda badal do
aaine ko dekhne do
subh-e-nau motiye ki taza KHushbu
dalan mein abba ji ke sath chae pina
school ka bag uThae lambi saDak ka safar
use dekhne do
wo sabz khilkhilate manzar
are
lamp bujha diya gaya
sabhi manzar ulaT diye gae
ai chakkar lagati hui chamgadaD tu hi bata
qudrat ki flashlight kis ke hath mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.