qurratul-ain-haidar
maiñ ne dekhī haiñ kisī chehre meñ aisī āñkheñ
jin meñ mere ka.ī anjāne savāloñ ke javāb
aisī āsānī se sachchā.ī ke dar kholte haiñ
āsmānoñ meñ zamīnoñ ke sanam bolte haiñ
maiñ ne jaanā hai ki lafzoñ ke tilismī dhāge
kaise tārīḳh ko unvān na.e dete haiñ
kaise aa milte haiñ sadiyoñ kī judā.ī ke asiir
kis tarah ḳhvāb na.e aks sajā lete haiñ
yūñhī is hairat-e-hastī kī panāhoñ meñ kahīñ
zindagī sab ke liye apne hunar kholtī hai
haañ magar ḳhaas qadam uThte haiñ rāhoñ meñ tabhī
ye zamīñ chāñd sitāroñ se udhar Doltī hai
aur is samt jo dekhūñ vo nazar boltī hai
maiñ bhalā kaun huuñ kirdār huuñ kis ḳhāke kā
mere hone se jahāñ bhar ko musībat kyā hai
kaise dozaḳh kā pata māñgtī huuñ us ke evaz
merī hastī kī zamāne meñ haqīqat kyā hai
maiñ ne dekhā hai mirā kal kisī guzre pal meñ
maiñ ne jaanā hai kahāñ merā qadam Thahrā hai
us ke imroz ko dekhā hai to ye ilm huā
merī taqdīr mire fardā meñ rakkhā kyā hai
main ne dekhi hain kisi chehre mein aisi aankhen
jin mein mere kai anjaane sawalon ke jawab
aisi aasani se sachchai ke dar kholte hain
aasmanon mein zaminon ke sanam bolte hain
main ne jaana hai ki lafzon ke tilismi dhage
kaise tariKH ko unwan nae dete hain
kaise aa milte hain sadiyon ki judai ke asir
kis tarah KHwab nae aks saja lete hain
yunhi is hairat-e-hasti ki panahon mein kahin
zindagi sab ke liye apne hunar kholti hai
han magar KHas qadam uThte hain rahon mein tabhi
ye zamin chand sitaron se udhar Dolti hai
aur is samt jo dekhun wo nazar bolti hai
main bhala kaun hun kirdar hun kis KHake ka
mere hone se jahan bhar ko musibat kya hai
kaise dozaKH ka pata mangti hun us ke ewaz
meri hasti ki zamane mein haqiqat kya hai
main ne dekha hai mera kal kisi guzre pal mein
main ne jaana hai kahan mera qadam Thahra hai
us ke imroz ko dekha hai to ye ilm hua
meri taqdir mere farda mein rakkha kya hai
- Sadiyon Jaise Pal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.