rahdari mein gunjti nazm
bāra-darī meñ chāñd sar-e-shām ho gayā
rah-dāriyoñ ke parde uḌātī rahī havā
mash.al-tale ġhulām kī talvār kho ga.ī
burgī pe jab sitāra girā
raat thī bahut
aur shāh-e-vaqt apne hī nashshe meñ mast thā
pishvāz nīche dā.era us ko nahīñ milā
bāra-darī meñ aag lagī thī
lagī rahī
aur bāñsurī ke nai kahīñ ḳhāmosh rah ga.ī
aur chāñd shāhzādī ke qadmoñ meñ so gayā
phir yuuñ huā ki dard se
aañsū hue gulāb
aur āñhkeñ huiiñ charāġh
yalġhār rāstoñ pe rahī
āñdhiyoñ kī shab
aur dhuul āsmān ko barbād kar ga.ī
sab āñganoñ ke kachche ghaḌoñ meñ bharī hai ret
paanī lahū huā
sarshār o mast kaise
zamīñ par girā hai taaj
so is ke ba.ad chaal o tārīḳh ne chalī
yalġhār-e-barq-o-bād huī hai galī galī
bosoñ meñ bhīgtī huī tanhā.iyoñ kī yaad
aur sub.h kī azaañ se uḌe dilbarī ke rañg
aur ḳhvāb jañgaloñ meñ bhaTakte rahe kahīñ
bālā-hsār
shahr-e-pinah
bām-o-dar
mahal
tūfānī bārishoñ meñ bhī khilte rahe gulāb
ham-juft saarā shahr
bāra-darī meñ zindagī be-nām ho ga.ī
bara-dari mein chand sar-e-sham ho gaya
rah-dariyon ke parde uDati rahi hawa
mashal-tale ghulam ki talwar kho gai
burgi pe jab sitara gira
raat thi bahut
aur shah-e-waqt apne hi nashshe mein mast tha
pishwaz niche daera us ko nahin mila
bara-dari mein aag lagi thi
lagi rahi
aur bansuri ke nai kahin KHamosh rah gai
aur chand shahzadi ke qadmon mein so gaya
phir yun hua ki dard se
aansu hue gulab
aur aanhken huin charagh
yalghaar raston pe rahi
aandhiyon ki shab
aur dhul aasman ko barbaad kar gai
sab aanganon ke kachche ghaDon mein bhari hai ret
pani lahu hua
sarshaar o mast kaise
zamin par gira hai taj
so is ke baad chaal o tariKH ne chali
yalghaar-e-barq-o-baad hui hai gali gali
boson mein bhigti hui tanhaiyon ki yaad
aur subh ki azan se uDe dilbari ke rang
aur KHwab jangalon mein bhaTakte rahe kahin
baala-hsar
shahr-e-pinah
baam-o-dar
mahal
tufani barishon mein bhi khilte rahe gulab
ham-juft sara shahr
bara-dari mein zindagi be-nam ho gai
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 246)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.