rahi tu chalta ja re
raahī tū chaltā jā re manzil tujhe pukāre
mat dekh muḌ ke pīchhe aage qadam baḌhā re
koshish baġhair qismat kab mehrbāñ hai hotī
sāgar meñ Duub kar hī tujh ko mileñge motī
kuchh bhī na pā sakegā tū baiTh kar kināre
raahī tū chaltā jā re manzil tujhe pukāre
ghabrā na dekh kar tū rātoñ ke ye añdhere
hargiz kisī ke roke rukte nahīñ savere
tanhā samajh na ḳhud ko sāthī haiñ chāñd taare
raahī tū chaltā jā re manzil tujhe pukāre
dil ko na kar tū chhoTā gar āsmāñ ḳhafā hai
himmat se kaam le tū gar vaqt kuchh burā hai
kab tak raheñge āḳhir gardish meñ ye sitāre
raahī tū chaltā jā re manzil tujhe pukāre
hāthoñ kī ye lakīreñ hāthoñ meñ haiñ tumhāre
kyoñ haath haath par dhar maltā hai haath pyāre
tadbīr ke sahāre taqdīr tū banā re
raahī tū chaltā jā re manzil tujhe pukāre
rahi tu chalta ja re manzil tujhe pukare
mat dekh muD ke pichhe aage qadam baDha re
koshish baghair qismat kab mehrban hai hoti
sagar mein Dub kar hi tujh ko milenge moti
kuchh bhi na pa sakega tu baiTh kar kinare
rahi tu chalta ja re manzil tujhe pukare
ghabra na dekh kar tu raaton ke ye andhere
hargiz kisi ke roke rukte nahin sawere
tanha samajh na KHud ko sathi hain chand tare
rahi tu chalta ja re manzil tujhe pukare
dil ko na kar tu chhoTa gar aasman KHafa hai
himmat se kaam le tu gar waqt kuchh bura hai
kab tak rahenge aaKHir gardish mein ye sitare
rahi tu chalta ja re manzil tujhe pukare
hathon ki ye lakiren hathon mein hain tumhaare
kyon hath hath par dhar malta hai hath pyare
tadbir ke sahaare taqdir tu bana re
rahi tu chalta ja re manzil tujhe pukare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.