raqim ki maut
chand safed bāloñ vaale naujavān
ḳhālī jeboñ kā bojh liye
añdhere kamroñ meñ band haiñ
vo jaan chuke haiñ ki lafzoñ kī bārish
bhūke peT kī pyaas bujhāne ke liye kaafī nahīñ
saarī raat taḳhayyul kī kokh se alfāz janñe ke baa'd
din bhar vo ḳhudā ke aage ehtijāj karte haiñ
vo jaan chuke haiñ
adab sirf hasīnoñ ko mash.hūr kar saktā hai
vo raat bhar apnī nazmoñ ko
bebasī ke giit sunā sunā kar thak jaate haiñ
āḳhir vo apnī tamām nazmoñ ko phāñsī kī sazā sunā kar qalam kī
nib toḌ dete haiñ
aur pankhe se laTak jaate haiñ
chand safed baalon wale naujawan
KHali jebon ka bojh liye
andhere kamron mein band hain
wo jaan chuke hain ki lafzon ki barish
bhuke peT ki pyas bujhane ke liye kafi nahin
sari raat taKHayyul ki kokh se alfaz janne ke ba'd
din bhar wo KHuda ke aage ehtijaj karte hain
wo jaan chuke hain
adab sirf hasinon ko mashhur kar sakta hai
wo raat bhar apni nazmon ko
bebasi ke git suna suna kar thak jate hain
aaKHir wo apni tamam nazmon ko phansi ki saza suna kar qalam ki
nib toD dete hain
aur pankhe se laTak jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.