zamāne bhar kī bātoñ meñ
vo afsānā bhī shāmil thā
ki jab hāthoñ meñ mere kāñptī
terī hathelī thī
nazar meñ phuul the mere khilā.e
aur gāloñ par ujāle the fazā ke
aap hī mahke hue
tanhā ḳhayāloñ se
zabāñ par ek chup thī TūTtī sī
muskurātī sī
jigar meñ phūTte uThte savāloñ se
pareshāñ ho
ki jaise rang koī
umr bhar ko lag gayā thā
surḳh vo terī hathelī par
ki jaise rog koī
dhaḌkanoñ kī dhaar meñ
bas ruk gayā sā thā
nahīñ jiskā koī chāra
vo kahne ko to sab
dhuñdlī huī yādeñ sabhī bāteñ
magar vo rāsta
jo zindagī kī or khulnā thā
khulā thā
aur ham sadiyāñ bitā aur aa ga.e the
jaise lamhoñ meñ
abhī bhī sochtā huuñ maiñ
ki jaise mere hāthoñ meñ
hathelī hai tumhārī kāñptī sī
aur mausam meñ khile haiñ
rang ḳhushbū ban
ki jaise rāsta
jo zindagī kī or khulnā thā
khulā hai
zamane bhar ki baaton mein
wo afsana bhi shamil tha
ki jab hathon mein mere kanpti
teri hatheli thi
nazar mein phul the mere khilae
aur galon par ujale the faza ke
aap hi mahke hue
tanha KHayalon se
zaban par ek chup thi TuTti si
muskuraati si
jigar mein phuTte uThte sawalon se
pareshan ho
ki jaise rang koi
umr bhar ko lag gaya tha
surKH wo teri hatheli par
ki jaise rog koi
dhaDkanon ki dhaar mein
bas ruk gaya sa tha
nahin jiska koi chaara
wo kahne ko to sab
dhundli hui yaaden sabhi baaten
magar wo rasta
jo zindagi ki or khulna tha
khula tha
aur hum sadiyan bita aur aa gae the
jaise lamhon mein
abhi bhi sochta hun main
ki jaise mere hathon mein
hatheli hai tumhaari kanpti si
aur mausam mein khile hain
rang KHushbu ban
ki jaise rasta
jo zindagi ki or khulna tha
khula hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.