raat abhi aadhi guzri hai
raat abhī aadhī guzrī hai
shahr kī raunaq bujhī nahīñ hai
thake nahīñ haiñ us mahfil ke saaz abhī tak
yaad ke bālā-ḳhānoñ se aatī hai kuchh āvāz abhī tak
maiñ ki zavāl-e-shahr kā nauha likhne vaalā
ek purānā qissa-go huuñ
alāmatoñ ke jañgal se
sandal kī lakḌī haath meñ le kar
aivānoñ se guzar rahā huuñ
sāzinde ab
āḳhirī thaap kī mahrūmī
shab kī mīzāñ par tol rahe haiñ
dhīme suroñ meñ
sust parinde
apnī bolī bol rahe haiñ
udhar galī meñ
muarraḳhīn-e-bāb-e-mashriq
na.ī kitābeñ khol rahe haiñ
raat abhī aadhī guzrī hai
lekin sub.h-e-nau kī kirneñ
apnā rasta DhūñDhtī
misr ke bāzāroñ meñ utar rahī haiñ
aadhī raat ke ba.ad
tabl bajtā hai taaza manzar kā
mujhe bhī saarā hisāb barābar karnā hai apne ghar kā
raat abhi aadhi guzri hai
shahr ki raunaq bujhi nahin hai
thake nahin hain us mahfil ke saz abhi tak
yaad ke baala-KHanon se aati hai kuchh aawaz abhi tak
main ki zawal-e-shahr ka nauha likhne wala
ek purana qissa-go hun
alamaton ke jangal se
sandal ki lakDi hath mein le kar
aiwanon se guzar raha hun
sazinde ab
aaKHiri thap ki mahrumi
shab ki mizan par tol rahe hain
dhime suron mein
sust parinde
apni boli bol rahe hain
udhar gali mein
muarraKHin-e-bab-e-mashriq
nai kitaben khol rahe hain
raat abhi aadhi guzri hai
lekin subh-e-nau ki kirnen
apna rasta DhunDhti
misr ke bazaron mein utar rahi hain
aadhi raat ke baad
tabl bajta hai taza manzar ka
mujhe bhi sara hisab barabar karna hai apne ghar ka
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 12)
- Author : ain tabish
- Publication : Educational publishing house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.