Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat aur din kaise hote hain

Navak Hamzapuri

raat aur din kaise hote hain

Navak Hamzapuri

MORE BYNavak Hamzapuri

    teacher ne ye pūchhā aa kar

    raat aur din hote haiñ kyūñkar

    apnī seat pe pappū uTThā

    aur farrāTe se yuuñ bolā

    ye sūraj ik raushan shai hai

    nārañgī gol zamīñ hai

    dhartī apnī kiil pe chakkar

    khātī rahtī hai har dam sar

    chaubīs ghanToñ meñ ik pherā

    kartī hai ye dhartī puurā

    chakkar khāne meñ jo hissa

    sūraj jānib hai rahtā

    us hissa meñ din rahtā hai

    'nāvak' ne yuuñ likkhā hai

    is ulTī samt añdherā

    aadhe hisse meñ hai rahtā

    ya.anī raat vahāñ rahtī hai

    mujh ko to ma.alūm yahī hai

    teacher ne ye puchha aa kar

    raat aur din hote hain kyunkar

    apni seat pe pappu uTTha

    aur farraTe se yun bola

    ye suraj ek raushan shai hai

    narangi si gol zamin hai

    dharti apni kil pe chakkar

    khati rahti hai har dam sar

    chaubis ghanTon mein ek phera

    karti hai ye dharti pura

    chakkar khane mein jo hissa

    suraj ki jaanib hai rahta

    us hissa mein din rahta hai

    'nawak' ne yun hi likkha hai

    is ki ulTi samt andhera

    aadhe hisse mein hai rahta

    yani raat wahan rahti hai

    mujh ko to malum yahi hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now