raat aur rang
ab āñkheñ to kholo
ab āñkheñ to kholo
ki ab raat se rang tak kā
har ik fāsla ghaT chukā hai
vahī raat haañ haañ vahī raat
kal jis kī bāhoñ meñ chimTe hue the
adhūre savāloñ ke kuchh ajnabī se ishāre
bahakte ḳhayāloñ ke behis sharāre
vahī raat haañ haañ vahī raat
jo dard ke ik dahakte safar par
duāoñ kī kuchh dāstāñ
gungunāte simaTtī chalī jā rahī thī
hirāsāñ hirāsāñ pareshāñ pareshāñ
vahī raat haañ haañ vahī raat
jis kī nigāhoñ meñ ḳhvābīda the
ḳhauf ke kuchh pur-asrār saa.e
vahī raat kal thī
vahī raat ab hai
magar ye huā kyā
kahāñ se ye sailāb aaya
sarāboñ kā har silsila kaT chukā hai
dhuñdalkoñ kā har qāfila baT chukā hai
ki ab raat se rang tak kā
har ik fāsla ghaT chukā hai
ab āñkheñ to kholo
ab āñkheñ to kholo
ab aankhen to kholo
ab aankhen to kholo
ki ab raat se rang tak ka
har ek fasla ghaT chuka hai
wahi raat han han wahi raat
kal jis ki bahon mein chimTe hue the
adhure sawalon ke kuchh ajnabi se ishaare
bahakte KHayalon ke behis sharare
wahi raat han han wahi raat
jo dard ke ek dahakte safar par
duaon ki kuchh dastan
gungunate simaTti chali ja rahi thi
hirasan hirasan pareshan pareshan
wahi raat han han wahi raat
jis ki nigahon mein KHwabida the
KHauf ke kuchh pur-asrar sae
wahi raat kal thi
wahi raat ab hai
magar ye hua kya
kahan se ye sailab aaya
sarabon ka har silsila kaT chuka hai
dhundalkon ka har qafila baT chuka hai
ki ab raat se rang tak ka
har ek fasla ghaT chuka hai
ab aankhen to kholo
ab aankhen to kholo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.