raat bhar ek sada
tez talvār kī dhaar aisī sadā
qatra qatra mire ḳhuun meñ
pighle se ke mānind girtī rahī
merī rag rag meñ ghul kar bikhartī rahī
aur phire hue tund zarroñ kī sūrat
mire jism meñ dauḌtī jhanjhanātī phirī
sub.h hone ko hai
koī dam meñ ye zaḳhmoñ bharī raat kī garm chādar
ujāle ke sābun meñ dhul kar nikhar aa.egī
har taraf narm-o-nāzuk sī ḳhushiyoñ ke chhīñTe
kivāḌoñ ko chheḌeñge sulā.eñge
phuul khil jā.eñge
qahqahoñ chahchahoñ kī jvālā
syāhī ke dhabboñ ko khā jā.egī
sochtā huuñ
ye ik tez sī dhaar aisī chamaktī sadā
jis kī kircheñ mirī ek ik rag meñ
panjoñ ko gaaḌe khaḌī haiñ
kahāñ jā.egī
itnī sadiyoñ ke ban-bās ko jhel kar
apne ghar aa.ī naarī se ab kis tarah maiñ kahūñ
jaao
ye ghar to ḳhushiyoñ kī raanī kā ghar hai
tez talwar ki dhaar aisi sada
qatra qatra mere KHun mein
pighle se ke manind girti rahi
meri rag rag mein ghul kar bikharti rahi
aur phire hue tund zarron ki surat
mere jism mein dauDti jhanjhanati phiri
subh hone ko hai
koi dam mein ye zaKHmon bhari raat ki garm chadar
ujale ke sabun mein dhul kar nikhar aaegi
har taraf narm-o-nazuk si KHushiyon ke chhinTe
kiwaDon ko chheDenge sulaenge
phul khil jaenge
qahqahon chahchahon ki jwala
syahi ke dhabbon ko kha jaegi
sochta hun
ye ek tez si dhaar aisi chamakti sada
jis ki kirchen meri ek ek rag mein
panjon ko gaDe khaDi hain
kahan jaegi
itni sadiyon ke ban-bas ko jhel kar
apne ghar aai nari se ab kis tarah main kahun
jao
ye ghar to KHushiyon ki rani ka ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.