raat chupke se chand aaya meri khiDki pe
kuchh
ḳhayāloñ meñ ulajh kar
rah gayā
kuchh
us kī yādoñ meñ
us ne
zulfeñ kiyā bikhrā.īñ
ki zindagī kā khel hī
ulajh kar rah gayā
raat chupke se
chāñd aaya merī khiḌkī pe
pūchhā tumheñ dekhtā nahīñ huuñ
in dinoñ
kahīñ tumheñ
ishq to nahīñ ho gayā
maiñ ne kahā
pata nahīñ kyā ho gayā
haañ itnā pata hai
ke vo muskurā.ī thī us din
aur maiñ
ġhazal likhne lag gayā
kuchh
KHayalon mein ulajh kar
rah gaya
kuchh
us ki yaadon mein
us ne
zulfen kiya bikhrain
ki zindagi ka khel hi
ulajh kar rah gaya
raat chupke se
chand aaya meri khiDki pe
puchha tumhein dekhta nahin hun
in dinon
kahin tumhein
ishq to nahin ho gaya
main ne kaha
pata nahin kya ho gaya
han itna pata hai
ke wo muskurai thi us din
aur main
ghazal likhne lag gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.