raat ham-zad
mere pahlū se saraktā huā din Dhal jaa.e
terī zulfoñ meñ mahaktī huī raat
apnī āġhosh meñ le jaa.e
mire dil kā qarār
rafta rafta tirī ḳhāmosh nigāhoñ meñ kahīñ
raat ke pichhle pahar
chāñd ubhar aa.e agar
mire siine meñ jo ghanghor ḳhalā hai use raushan kar de
zindagī mujh ko tirī soḳhta chāloñ kī qasam
maut manzūr hai lekin tirā ye doġhlā-pan
jiine detā nahīñ insāñ ko sarāpā ehsās
kyā huā maiñ ne kahīñ sach to nahīñ kah Daalā
jhuuT har uns kī ījād kahāñ hai batlā
sach bhī to sāniha-e-zīst kā parvarda hai
terā honā bhī to yaañ mere ta.iiñ hai ro le
terā hañsnā bhī ḳhudā ḳhair kare maar na de
mere pahlū se saraktā huā din aa pahuñchā
terī zulfoñ meñ mahaktī huī raat
Dhal bhī chukī
mere pahlu se sarakta hua din Dhal jae
teri zulfon mein mahakti hui raat
apni aaghosh mein le jae
mere dil ka qarar
rafta rafta teri KHamosh nigahon mein kahin
raat ke pichhle pahar
chand ubhar aae agar
mere sine mein jo ghanghor KHala hai use raushan kar de
zindagi mujh ko teri soKHta chaalon ki qasam
maut manzur hai lekin tera ye doghla-pan
jine deta nahin insan ko sarapa ehsas
kya hua main ne kahin sach to nahin kah Dala
jhuT har uns ki ijad kahan hai batla
sach bhi to saniha-e-zist ka parwarda hai
tera hona bhi to yan mere tain hai ro le
tera hansna bhi KHuda KHair kare mar na de
mere pahlu se sarakta hua din aa pahuncha
teri zulfon mein mahakti hui raat
Dhal bhi chuki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.