raat ka aaKHiri pahar
raat kā āḳhirī pahar bhī
raḳht-e-safar bāñdh rahā hai
mere kamre meñ ḳhāmoshī aur tārīkī
do būḌhī saheliyoñ kī tarah ek dūsre meñ gum haiñ
maiñ haath meñ garm chaa.e kī pyālī liye
soch rahī huuñ ki mujhe kyā sochnā chāhiye
kyā use
jo merā kuchh bhī nahīñ
to phir use kyā sochnā
chalo apne mustaqbil ke raushan ḳhvāb
āñkhoñ meñ zinda karte haiñ
magar ḳhvāb
kyā un kī ta.abīr vāqa.ī raushan hogī
kise ḳhabar hai
achānak kaise murġhe kī āvāz aa.ī
aur mujhe yuuñ lagā jaise
us ne duur se kisī ko pukārā ho
pukār
maiñ ne aisā kyoñ sochā
kyā mere siine meñ bhī koī pukār dafn hai
nahīñ chhoḌo
aur phir bahut se murġhe chillāne lage
jaise kisī bichhḌe hue kā mātam kar rahe hoñ
uf phir kyā ḳhayāl aayā
maiñ un kī āvāzoñ ko vasl kā giit bhī to kah saktī thī
mujhe ye āvāzeñ nauha kyoñ lagīñ
kyā mere andar bhī kisī se bichhaḌne kā ġham pinhāñ hai
nahīñ to
mujhe kisī se bichhaḌne kā ġham kyoñ kar huā
are
koī kuttā bhauñkā
maiñ ne khiḌkī se bāhar jhāñkā
añdherā duur tak
aur añdhere se mujhe phir kuchh yaad aayā
añdherā añdherā
vo bhī to apne māhaul ko
añdherā kahā kartā hai naañ
vo vo
lekin nahīñ
mujhe use nahīñ sochnā
to phir
soch rahī huuñ ki mujhe kyā sochnā chāhiye
raat ka aaKHiri pahar bhi
raKHt-e-safar bandh raha hai
mere kamre mein KHamoshi aur tariki
do buDhi saheliyon ki tarah ek dusre mein gum hain
main hath mein garm chae ki pyali liye
soch rahi hun ki mujhe kya sochna chahiye
kya use
jo mera kuchh bhi nahin
to phir use kya sochna
chalo apne mustaqbil ke raushan KHwab
aankhon mein zinda karte hain
magar KHwab
kya un ki tabir waqai raushan hogi
kise KHabar hai
achanak kaise murghe ki aawaz aai
aur mujhe yun laga jaise
us ne dur se kisi ko pukara ho
pukar
main ne aisa kyon socha
kya mere sine mein bhi koi pukar dafn hai
nahin chhoDo
aur phir bahut se murghe chillane lage
jaise kisi bichhDe hue ka matam kar rahe hon
uf phir kya KHayal aaya
main un ki aawazon ko wasl ka git bhi to kah sakti thi
mujhe ye aawazen nauha kyon lagin
kya mere andar bhi kisi se bichhaDne ka gham pinhan hai
nahin to
mujhe kisi se bichhaDne ka gham kyon kar hua
are
koi kutta bhaunka
main ne khiDki se bahar jhanka
andhera dur tak
aur andhere se mujhe phir kuchh yaad aaya
andhera andhera
wo bhi to apne mahaul ko
andhera kaha karta hai nan
wo wo
lekin nahin
mujhe use nahin sochna
to phir
soch rahi hun ki mujhe kya sochna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.