raat ke jadu sahar ke aaine se
al-hazar
raat ke jaadū
sahar ke aa.ine se
naḳhl-e-hairat par chahaktī bulbuloñ se
ūñghtī galiyoñ meñ bahtī tīrgī se
sabz saa.e ke jilau meñ
narm qadmoñ se zamīñ ko gudgudātī naddiyoñ se al-hazar
said kab se hai ye duniyā ālam-e-ījād kī
shakl pahchānī nahīñ jaatī kisī bhī yaad kī
ḳhalq hotī haiñ anokhī sūrateñ uftād kī
sab vahī kuchh hai magar lagtā hai jaise vo nahīñ
kuchh anokhā aur kuchh kuchh sāniya hai kuchh kahīñ
aur agar sab kuchh vahī hai to savād-e-shahr meñ
dhuup kī mīThī chubhan kyoñ phuul muskātī nahīñ
sāñvle saa.e se kyoñ din kī mahak jaatī nahīñ
raat aatī hai to kyoñ tārīk ho paatī nahīñ
yuuñ gumāñ hotā hai
jaise kho chuke haiñ ham vo ḳhvāb
jis ke hone se shu.ūr-e-dosh-o-fardā thā hameñ
jis ke hone se yaqīñ thā apne hone kā hameñ
kho chuke haiñ ham vo ḳhvāb-e-dil-nashīñ
aur koī sūrat palaT jaane kī ab mumkin nahīñ
so hameñ zanjīr honā hī hai is tanhā.ī kā
jis ne andhā kar diyā hai fasl-e-gul kā aa.ina
jis ne paidā kar diyā hai ḳhuuñ meñ ik be-nām Dar
al-hazar
al-hazar raat ke jaadū sahar ke aa.ine se al-hazar
al-hazar
raat ke jadu
sahar ke aaine se
naKHl-e-hairat par chahakti bulbulon se
unghti galiyon mein bahti tirgi se
sabz sae ke jilau mein
narm qadmon se zamin ko gudgudati naddiyon se al-hazar
said kab se hai ye duniya aalam-e-ijad ki
shakl pahchani nahin jati kisi bhi yaad ki
KHalq hoti hain anokhi suraten uftad ki
sab wahi kuchh hai magar lagta hai jaise wo nahin
kuchh anokha aur kuchh kuchh saniya hai kuchh kahin
aur agar sab kuchh wahi hai to sawad-e-shahr mein
dhup ki miThi chubhan kyon phul muskati nahin
sanwle sae se kyon din ki mahak jati nahin
raat aati hai to kyon tarik ho pati nahin
yun guman hota hai
jaise kho chuke hain hum wo KHwab
jis ke hone se shuur-e-dosh-o-farda tha hamein
jis ke hone se yaqin tha apne hone ka hamein
kho chuke hain hum wo KHwab-e-dil-nashin
aur koi surat palaT jaane ki ab mumkin nahin
so hamein zanjir hona hi hai is tanhai ka
jis ne andha kar diya hai fasl-e-gul ka aaina
jis ne paida kar diya hai KHun mein ek be-nam Dar
al-hazar
al-hazar raat ke jadu sahar ke aaine se al-hazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.