raat ke sae
mezoñ ke shīshoñ par bikhre ḳhālī jaam ke giile halqe
sigreToñ ke dhueñ ke chhalle dīvāroñ par TuuT chale haiñ
saarā kamra dhuāñ dhuāñ hai saarī fazā hai mahkī mahkī
do ik dhuñdle dhuñdle sar haiñ jhuke hue be-sudh hāthoñ par
raat kā nashsha TuuT rahā hai
jab aa.e the is mahfil meñ na.e purāne sab sāthī the
kaun kise pahchānegā jab ek ik kar ke uTh jā.eñge
ye mahfil hai raat ke dam tak din nikle to aañkh khulegī
sab apne apne dāman par lage hue dhabbe dho leñge
apnī apnī nā-dānī par yā hañs leñge yā ro leñge
mezon ke shishon par bikhre KHali jam ke gile halqe
sigreTon ke dhuen ke chhalle diwaron par TuT chale hain
sara kamra dhuan dhuan hai sari faza hai mahki mahki
do ek dhundle dhundle sar hain jhuke hue be-sudh hathon par
raat ka nashsha TuT raha hai
jab aae the is mahfil mein nae purane sab sathi the
kaun kise pahchanega jab ek ek kar ke uTh jaenge
ye mahfil hai raat ke dam tak din nikle to aankh khulegi
sab apne apne daman par lage hue dhabbe dho lenge
apni apni na-dani par ya hans lenge ya ro lenge
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 511)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.