raat ki shahzadi
shaam hī se svayamvar kī mahfil hai ārāsta
jaane kitne sajīle javāñ
ḳhīra-sar ārzūoñ ko mahmez karte chale aa.e haiñ
un ko ma.alūm
sab ke baa'd ek bāñkā jo bijlī ke rath par savār aa.egā
shāhzādī se in.ām-e-jāñ-dādgī pā.egā
us kī gardan meñ lachkegī jai-mālā kī kahkashāñ
aur ye rath meñ bijlī ke pahuñchegī jaane kahāñ se kahāñ
gard uḌtī chalī jā.egī duur tak
aur ik pal meñ sunsān ho jā.egī rahguzar
TuuT jā.egā maike se naatā sadā ke liye
lauT kar phir na aa.egī bābul ke ghar
chuum lo aur ik baar is kī jabīñ
is se ho lo judā
haath shafqat kā sar par dharo
apnī palkoñ ke motī nichhāvar karo
ghar se jaane do is ko dul.han kī tarah
saal kī āḳhirī raat hai
phir na aa.egī ye
sham hi se swayamwar ki mahfil hai aarasta
jaane kitne sajile jawan
KHira-sar aarzuon ko mahmez karte chale aae hain
un ko malum
sab ke ba'd ek banka jo bijli ke rath par sawar aaega
shahzadi se inam-e-jaan-dadgi paega
us ki gardan mein lachkegi jai-mala ki kahkashan
aur ye rath mein bijli ke pahunchegi jaane kahan se kahan
gard uDti chali jaegi dur tak
aur ek pal mein sunsan ho jaegi rahguzar
TuT jaega maike se nata sada ke liye
lauT kar phir na aaegi babul ke ghar
chum lo aur ek bar is ki jabin
is se ho lo juda
hath shafqat ka sar par dharo
apni palkon ke moti nichhawar karo
ghar se jaane do is ko dulhan ki tarah
sal ki aaKHiri raat hai
phir na aaegi ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.