raat
maiñ dekhtā huuñ
vīrān shāh-rāhoñ par reñgtī ḳhāmoshī
sūraj ke ghar lauTte hī
be-libās ho kar nāchne lagtī hai
aur talāsh kartī hai kuchh muskurāte chehre
añdherā chhāne lagtā hai
vīrānī dālān meñ baiThī bain kartī aur
apnī mahrūmī kā iz.hār kartī hai
kirā.e ke qabristān meñ dafn murde
rāt-bhar ehtijāj karte haiñ
apnī nā-mukammal ḳhvāhishoñ ko saḌkoñ par jalāte haiñ
jis ke dhueñ se āsmān kā
rang kaalā paḌ jaatā hai
raat kī tārīkī manhūs āvāzeñ nikāltī hai
vīrān saḌak ke ek taraf khaḌī būḌhī tavā.if
apne gāhak ke ravayye se ḳhaufzada hai
ullū aur chamgādaḌ bhī raat se ḳhafā ho kar
ab din meñ safar karte haiñ
murda raat gahrī ho jaatī hai
jaaḌe kī ThiThurātī sardī meñ
fōtpath par baiThī ek nannhī kalī
ek roTī ke liye ḳhudā ke signature kī muntazir hai
mahñgī gāḌiyoñ ke sāmne
giḌgiḌātī tavā.if kā ek aañsū
mere zehn meñ
be-shumār savālāt chhoḌ gayā hai
main dekhta hun
viran shah-rahon par rengti KHamoshi
suraj ke ghar lauTte hi
be-libas ho kar nachne lagti hai
aur talash karti hai kuchh muskuraate chehre
andhera chhane lagta hai
virani dalan mein baiThi bain karti aur
apni mahrumi ka izhaar karti hai
kirae ke qabristan mein dafn murde
raat-bhar ehtijaj karte hain
apni na-mukammal KHwahishon ko saDkon par jalate hain
jis ke dhuen se aasman ka
rang kala paD jata hai
raat ki tariki manhus aawazen nikalti hai
viran saDak ke ek taraf khaDi buDhi tawaif
apne gahak ke rawayye se KHaufzada hai
ullu aur chamgadaD bhi raat se KHafa ho kar
ab din mein safar karte hain
murda raat gahri ho jati hai
jaDe ki ThiThuraati sardi mein
footpath par baiThi ek nannhi kali
ek roTi ke liye KHuda ke signature ki muntazir hai
mahngi gaDiyon ke samne
giDgiDati tawaif ka ek aansu
mere zehn mein
be-shumar sawalat chhoD gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.