raat subh-e-bahaar hogi
muhīb sāyoñ meñ pal rahā huuñ
ki laakh rañj-o-alam meñ mahsūr ek jins-e-girāñ hai iqrār jis kā
āfāt kā sabab hai
maiñ kaise bhūlūñ maiñ bhuul jā.ūñ kashmakash
maiñ dhuul āñkhoñ meñ jhoñk Dālūñ
to raat sub.h-e-bahār hogī
mirā tasalsul mere muqaddar ke saath paiham ravāñ-davāñ hai
zamīn saa.e ko jhel legī maiñ chal paḌūñgā
jo bhed jeboñ par bojh bante haiñ
jo bhuul galiyāñ miTā ke rū-posh ho ga.ī hai
vo chhup ga.ī
vo chhup ga.ī hai to pair miTTī safar kā anjām qarz kar lo
jo aisā kar lo to sub.h chāTo zamīn chāTo
mujhe na dekho ki maiñ to nasl-e-qadīm-sāla se muntashir huuñ
maiñ lafz DhūñDūñ ki ḳhud tārīk ā.īne meñ utaar luuñ dekhūñ toḌ Dālūñ
yūñhī tasalsul ke saath qismat kā vāsta hai jo ā.īna hai
maiñ us ko toḌūñ maiñ us ko joḌūñ ki jis kā iqrār to garāñ hai
muhib sayon mein pal raha hun
ki lakh ranj-o-alam mein mahsur ek jins-e-giran hai iqrar jis ka
aafat ka sabab hai
main kaise bhulun main bhul jaun kashmakash
main dhul aankhon mein jhonk Dalun
to raat subh-e-bahaar hogi
mera tasalsul mere muqaddar ke sath paiham rawan-dawan hai
zamin sae ko jhel legi main chal paDunga
jo bhed jebon par bojh bante hain
jo bhul galiyan miTa ke ru-posh ho gai hai
wo chhup gai
wo chhup gai hai to pair miTTi safar ka anjam qarz kar lo
jo aisa kar lo to subh chaTo zamin chaTo
mujhe na dekho ki main to nasl-e-qadim-sala se muntashir hun
main lafz DhunDun ki KHud tarik aaine mein utar lun dekhun toD Dalun
yunhi tasalsul ke sath qismat ka wasta hai jo aaina hai
main us ko toDun main us ko joDun ki jis ka iqrar to garan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.