raazi-nama
raat ke kaale badan pe sitāre Tāñkne kī mashq
apnī ruuh par paivand lagāne jaisī mushkil nahīñ hotī
āsmān se laTaktī shāḳhoñ par
mannatoñ ke dhāge kab tak bāñdhe jā sakte haiñ
bujhe hue ko.ele aur giilī lakḌī chiñgārī nahīñ pakaḌte
soī huī sard mohabbat ne karvaT badal lī hai
charāġh le kar safar par nikalne vaalī titlī ko
chaudah din purāne chāñd se kyā ġharaz
bahtī huī saḌkoñ se apnā rāsta chun lenā
aur āvāzoñ meñ se apne hisse kī āvāz sun lenā
āsmān ke bas meñ kab hai
us ke juzdān meñ lipTī sahīfe jaisī raat nāzil ho ga.ī hai
saat suroñ meñ bahtā raat kā ye pahlā pahar aur
kin-min sā barastā tumhārā narm ehsās
bārish ke baa.eñ gaal par rakhā huā hai
aag bārish kī bolī bol rahī hai
september kī gyārahvīñ raat hai
saḌak kī silvaToñ par aThkheliyāñ letī mohabbat ko
bārish ke paanī se bā-vazū daraḳhtoñ ne sajda kar liyā hai
raat ke kale badan pe sitare Tankne ki mashq
apni ruh par paiwand lagane jaisi mushkil nahin hoti
aasman se laTakti shaKHon par
mannaton ke dhage kab tak bandhe ja sakte hain
bujhe hue koele aur gili lakDi chingari nahin pakaDte
soi hui sard mohabbat ne karwaT badal li hai
charagh le kar safar par nikalne wali titli ko
chaudah din purane chand se kya gharaz
bahti hui saDkon se apna rasta chun lena
aur aawazon mein se apne hisse ki aawaz sun lena
aasman ke bas mein kab hai
us ke juzdan mein lipTi sahife jaisi raat nazil ho gai hai
sat suron mein bahta raat ka ye pahla pahar aur
kin-min sa barasta tumhaara narm ehsas
barish ke baen gal par rakha hua hai
aag barish ki boli bol rahi hai
september ki gyarahwin raat hai
saDak ki silwaTon par aThkheliyan leti mohabbat ko
barish ke pani se ba-wazu daraKHton ne sajda kar liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.