rabab-e-gham
mirā to ye gumān hai
giyān par lagān hai
ghaTā ghaTā sī raushnī
ġhubār-e-jān se aTī
fasurda kā.enāt ke
ubharte regzār par
gir paḌā hai aadmī
aur us ke sāmne mire
savāl kā javāb ik kaTī huī zabān hai
navishtgān soch ke
gumān se kahīñ pare
hai chāñd ek zau-fishāñ
suno zarā rabāb-e-ġham
koī kahīñ hai gā rahā
ḳhudā-e-āsmān kī hai an-kahī sunā rahā
vo kah rahā hai shād-bād aadmī koī nahīñ
ye zindagī samajhte ho jise ye zindagī nahīñ
jahān bhar kī raunaqeñ
suno to sab haiñ vahshateñ
haiñ vahshatoñ ke phal sabhī
tū aur maiñ to kuchh nahīñ
ye jhuuT kā ġhilāf hai
jo hai hamārī shaan hech
agar tumheñ gumān ho
to kaun bad-gumān ho
ḳhayāl aur gumān hech
giyān par lagān hech
mera to ye guman hai
giyan par lagan hai
ghaTa ghaTa si raushni
ghubar-e-jaan se aTi
fasurda kaenat ke
ubharte regzar par
gir paDa hai aadmi
aur us ke samne mere
sawal ka jawab ek kaTi hui zaban hai
nawishtgan soch ke
guman se kahin pare
hai chand ek zau-fishan
suno zara rabab-e-gham
koi kahin hai ga raha
KHuda-e-asman ki hai an-kahi suna raha
wo kah raha hai shad-baad aadmi koi nahin
ye zindagi samajhte ho jise ye zindagi nahin
jahan bhar ki raunaqen
suno to sab hain wahshaten
hain wahshaton ke phal sabhi
tu aur main to kuchh nahin
ye jhuT ka ghilaf hai
jo hai hamari shan hech
agar tumhein guman ho
to kaun bad-guman ho
KHayal aur guman hech
giyan par lagan hech
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.