race
vahāñ bhaav achchhā milā thā
koī chaar chhe length kī
baat bhī to nahīñ thī
bas āḳhir meñ gardan se
gardan hī kā fāsla rah gayā thā
vo jockey ki jis par
bharosa thā mujh ko
usī ne kahīñ
nahīñ aisā mumkin nahīñ hai
to phir
hasab aur nasab
shajara-e-ḳhāndān
sabhī dekh Daalā thā maiñ ne
vo rustam kā beTā thā
sohrāb hī thā
vo jis bench meñ thā
vahāñ koī us kā muqābil nahīñ thā
vo chīte kī mānind uḌtā thā
aur vazan bhī
piiTh par
us kī itnā nahīñ thā
ki vo haar jaatā
trainer bhī māhir thā us kā
phir us ke vo sab kārnāme
idhar us kī photo nikalne ko thī
aur udhar
dil kī raftār
koī chaar chhe length kī baat bhī to nahīñ thī
vahāñ sirf gardan se gardan hī kā fāsla rah gayā thā
chalo maan lete haiñ
phir aaj apne sitāre hī achchhe nahīñ the
chalo auto rickshaw se chalte haiñ circle
nahīñ yaar
ab itne paise kahāñ haiñ
wahan bhaw achchha mila tha
koi chaar chhe length ki
baat bhi to nahin thi
bas aaKHir mein gardan se
gardan hi ka fasla rah gaya tha
wo jockey ki jis par
bharosa tha mujh ko
usi ne kahin
nahin aisa mumkin nahin hai
to phir
hasab aur nasab
shajara-e-KHandan
sabhi dekh Dala tha main ne
wo rustam ka beTa tha
sohrab hi tha
wo jis bench mein tha
wahan koi us ka muqabil nahin tha
wo chite ki manind uDta tha
aur wazan bhi
piTh par
us ki itna nahin tha
ki wo haar jata
trainer bhi mahir tha us ka
phir us ke wo sab karname
idhar us ki photo nikalne ko thi
aur udhar
dil ki raftar
koi chaar chhe length ki baat bhi to nahin thi
wahan sirf gardan se gardan hi ka fasla rah gaya tha
chalo man lete hain
phir aaj apne sitare hi achchhe nahin the
chalo auto rickshaw se chalte hain circle
nahin yar
ab itne paise kahan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.