raftagan
tum yahāñ so jaao
tum ko ye jagah bhī gar na miltī tum gila ham se na karte
ham tumhāre saath kuchh miTTī diye jaate haiñ
isī miTTī se ab ham-rañg ho jaao
ye sannāTā tumhāre saath hai ab is se ham-āhañg ho jaao
tumhāre chāñd sūraj mar chuke haiñ
tumhārī raushnī
zulmat
umiid o nā-umīdī
naav kāġhaz kī
gharauñde ret ke
bachpan javānī, umr kā ik ek lamha
tum jo murda aur zinda chhoḌe jaate ho
vo ham auroñ ko de deñge
akele jis tarah aa.e ho tum vo sab bhī ā.eñge yahāñ tak
sab ye varna chhoḌ jā.eñge!
koī rahzan bane yā raah roke
ham-safar ho yā koī rasta dikhā.e
apnā rasta sab ko tanhā paar karnā hai
hamārā kaam suulī par chaḌhānā hai so ham karte haiñ
lekin bojh suulī kā tumheñ ko hai uThānā
tum yahāñ so jaao
apnā bojh uThā.e ham bhī ā.eñge
hamāre chāñd sūraj bhī mareñge!
tum yahan so jao
tum ko ye jagah bhi gar na milti tum gila hum se na karte
hum tumhaare sath kuchh miTTi diye jate hain
isi miTTi se ab ham-rang ho jao
ye sannaTa tumhaare sath hai ab is se ham-ahang ho jao
tumhaare chand suraj mar chuke hain
tumhaari raushni
zulmat
umid o na-umidi
naw kaghaz ki
gharaunde ret ke
bachpan jawani, umr ka ek ek lamha
tum jo murda aur zinda chhoDe jate ho
wo hum auron ko de denge
akele jis tarah aae ho tum wo sab bhi aaenge yahan tak
sab ye warna chhoD jaenge!
koi rahzan bane ya rah roke
ham-safar ho ya koi rasta dikhae
apna rasta sab ko tanha par karna hai
hamara kaam suli par chaDhana hai so hum karte hain
lekin bojh suli ka tumhein ko hai uThana
tum yahan so jao
apna bojh uThae hum bhi aaenge
hamare chand suraj bhi marenge!
- Book : aaina dar aaina (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.