rah-guzasht
raat bhar husn-e-tasavvur se jilā paate rahe
ḳhvāb mere ruḳh-e-mahtāb ko sharmāte rahe
jin bahishtoñ se maiñ guzrā huuñ vo yaad aatī ga.iiñ
shaiḳh kal ḳhuld kī tārīf jo farmāte rahe
jannat-o-dozaḳh-o-a.arāf se maiñ guzrā huuñ
ḳhunkī-e-husn ke sho.ale mujhe pighlāte rahe
vo tahayyur vo nigāhoñ kā tajassus he he
ḳhvāb se hosh ke aalam meñ nazar aate rahe
raqs kartā rahā har zarra rah-e-ġhurbat meñ
kyā bagūle the mire gird jo mañDlāte rahe
haath ḳhālī thā mirā aur bharī thiiñ āñkheñ
jām-e-labrez mai-e-nāb se Takrāte rahe
ajnabī chehre jo mānūs nazar aate the
apnī ḳhāmoshī meñ kyā kuchh nahīñ farmāte rahe
TuuT ke girte rahe ban ke shahāb-e-sāqib
sher-o-ilhām ke motī kabhī barsāte rahe
kuchh azāzīl o sarāfīl bhī raste meñ mile
un ke changul se magar bach ke nikal aate rahe
qissa-e-ġhaib chhiḌā yā suḳhan-e-būd-o-adam
sham.a ke gird patange the ki mañDlāte rahe
aañch sahte rahe furqat kī bhī āshob kī bhī
jī ko ḳhvāboñ se ḳhayāloñ se bhī bahlāte rahe
kabhī be-sāḳhta phūloñ kī taraf uTThe qadam
kabhī ḳhushbū hī se ham ruuh ko mahkāte rahe
Dhal gayā din to ubhar aa.e umīdoñ ke charāġh
na sahī chāñd sitāre hī nazar aate rahe
raat bhar husn-e-tasawwur se jila pate rahe
KHwab mere ruKH-e-mahtab ko sharmate rahe
jin bahishton se main guzra hun wo yaad aati gain
shaiKH kal KHuld ki tarif jo farmate rahe
jannat-o-dozaKH-o-araf se main guzra hun
KHunki-e-husn ke shoale mujhe pighlate rahe
wo tahayyur wo nigahon ka tajassus he he
KHwab se hosh ke aalam mein nazar aate rahe
raqs karta raha har zarra rah-e-ghurbat mein
kya bagule the mere gird jo manDlate rahe
hath KHali tha mera aur bhari thin aankhen
jam-e-labrez mai-e-nab se Takraate rahe
ajnabi chehre jo manus nazar aate the
apni KHamoshi mein kya kuchh nahin farmate rahe
TuT ke girte rahe ban ke shahab-e-saqib
sher-o-ilham ke moti kabhi barsate rahe
kuchh azazil o sarafil bhi raste mein mile
un ke changul se magar bach ke nikal aate rahe
qissa-e-ghaib chhiDa ya suKHan-e-bud-o-adam
shama ke gird patange the ki manDlate rahe
aanch sahte rahe furqat ki bhi aashob ki bhi
ji ko KHwabon se KHayalon se bhi bahlate rahe
kabhi be-saKHta phulon ki taraf uTThe qadam
kabhi KHushbu hi se hum ruh ko mahkate rahe
Dhal gaya din to ubhar aae umidon ke charagh
na sahi chand sitare hi nazar aate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.