rahguzar
phir vahī baḌhte hue rukte hue qadmoñ kī chaap
phir vahī sahmī huī simTī huī sargoshiyāñ
phir vahī bahkī huī mahkī huī sī āhaTeñ
phir vahī gaatī sī lahrātī sī kuchh madhoshiyāñ
zindagī tūfān thī sailāb thī bhauñchāl thī
vaqt phir bhī karvaToñ par karvaTeñ letā rahā
qāfile is raah par aate rahe jaate rahe
rāhbar sab ko masāfat kā sila detā rahā
vo tabassum jis ko rote haiñ ka.ī ujḌe suhāg
ban rahā hai ik lachaktā ḳhaar apne paañv meñ
vo nazar jo kal talak har jism ko Dastī rahī
aaj sustāne lagī hai maslahat kī chhāñv meñ
kitnī ummīdoñ ke madfan us ke hāthoñ ban chuke
kitne armānoñ ke lāshe us ne ḳhud kafnā.e haiñ
aah ye maqtal ki jis ke pāsbānī ke liye!
kitne mustaqbil fanā ke dosh par lahrā.e haiñ
kulfatoñ se tañg aa kar be-ḳhudī kī khoj meñ
qāfile is raah par aate raheñ jaate raheñ
rāhbar sab ko masāfat kā sila detā rahe
rāh-rau apne tajassus kā sila paate raheñ
phir wahi baDhte hue rukte hue qadmon ki chap
phir wahi sahmi hui simTi hui sargoshiyan
phir wahi bahki hui mahki hui si aahaTen
phir wahi gati si lahraati si kuchh madhoshiyan
zindagi tufan thi sailab thi bhaunchaal thi
waqt phir bhi karwaTon par karwaTen leta raha
qafile is rah par aate rahe jate rahe
rahbar sab ko masafat ka sila deta raha
wo tabassum jis ko rote hain kai ujDe suhag
ban raha hai ek lachakta KHar apne panw mein
wo nazar jo kal talak har jism ko Dasti rahi
aaj sustane lagi hai maslahat ki chhanw mein
kitni ummidon ke madfan us ke hathon ban chuke
kitne armanon ke lashe us ne KHud kafnae hain
aah ye maqtal ki jis ke pasbani ke liye!
kitne mustaqbil fana ke dosh par lahrae hain
kulfaton se tang aa kar be-KHudi ki khoj mein
qafile is rah par aate rahen jate rahen
rahbar sab ko masafat ka sila deta rahe
rah-rau apne tajassus ka sila pate rahen
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.