rail chalne lagi
sar-nigūñ sabz jhanḌī kā halkā pharerā fazāoñ meñ lahrā gayā
bench par os meñ bhīge pattoñ kī chādar ko jhoñke uḌā le ga.e
rail kī pTriyoñ par udāsī kī gūñjeñ badan kī surañgoñ se yak-laḳht bāhar nikalne lagīñ
whistle bajne lagī
rail chalne lagī
dil-girafta musāfir ka.ī manziloñ kī aziyyat ke paikar meñ Dhalne lage
ek maañ ne duāoñ se labrez bosoñ-bharī thāliyoñ ko
kisī jañg par gāmzan apne beTe kī jholī meñ ulTā diyā
ek aurat kī chhātī pe
sadiyoñ kī Thahrī huī ik udāsī ke be-jān pahiye guzarne lage
do baras ke farishte ke aañsū gire
whistle bajne lagī
ḳhushnumā zindagī ke dupaTTe javāñ auratoñ ke saroñ se Dhalakne lage
be-ridā ek laḌkī ne ḳhākistarī bag pakḌe hue
duur khetoñ meñ ḳhāmosh logoñ ko ruḳhsat kiyā
ik na.ī mauj phir se darīda badan meñ ubharne lagī
ek rauzan se dohrī havāoñ ke jhoñke guzarne lage
bhiiḌ kī be-ḳhayālī bharī rail meñ phir ubalne lagī
ek ThanDī udāsī usī bench par phir utarne lagī
whistle bajne lagī
rail chalne lagī
sar-nigun sabz jhanDi ka halka pharera fazaon mein lahra gaya
bench par os mein bhige patton ki chadar ko jhonke uDa le gae
rail ki pTriyon par udasi ki gunjen badan ki surangon se yak-laKHt bahar nikalne lagin
whistle bajne lagi
rail chalne lagi
dil-girafta musafir kai manzilon ki aziyyat ke paikar mein Dhalne lage
ek man ne duaon se labrez boson-bhari thaaliyon ko
kisi jang par gamzan apne beTe ki jholi mein ulTa diya
ek aurat ki chhati pe
sadiyon ki Thahri hui ek udasi ke be-jaan pahiye guzarne lage
do baras ke farishte ke aansu gire
whistle bajne lagi
KHushnuma zindagi ke dupaTTe jawan auraton ke saron se Dhalakne lage
be-rida ek laDki ne KHakistari bag pakDe hue
dur kheton mein KHamosh logon ko ruKHsat kiya
ek nai mauj phir se darida badan mein ubharne lagi
ek rauzan se dohri hawaon ke jhonke guzarne lage
bhiD ki be-KHayali bhari rail mein phir ubalne lagi
ek ThanDi udasi usi bench par phir utarne lagi
whistle bajne lagi
rail chalne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.