rail ka safar
darpesh achānak jo huī ek zarūrat
'vāhī' se huī rail pe chaḌhne kī himāqat
aa dhamkī zarā vaqt se pahle hī vo gaaḌī
'vāhī' ne ghaḌī dekhī to lāhaq huī hairat
hairat thī ki tājīl kī kyā vajah hai āḳhir
tāḳhīr to hai rail kī derīna rivāyat
al-qissa ticket manzil-e-maqsūd kā le kar
asbāb liye dauḌ ke pahuñchā vo ba-ujlat
aage se bhī pīchhe se bhī khātā huā dhakke
dāḳhil huā ik chhoTe se Dabbe meñ ba-diqqat
Dibbā thā ki ik ganj-e-shahīdāñ kā namūna
thoḌī sī jagah tang-tar az-gosha-e-turbat
turbat meñ magar paañv to phailāte haiñ murde
zindoñ ko nahīñ rail meñ us kī bhī suhūlat
asbāb pe baiThā thā koī Taañg aḌaa.e
khiḌkī pe khaḌā thā koī dīvār kī sūrat
is bhiiḌ meñ gunjā.ish-e-alfāz kahāñ thī
alfāz bhī hoñToñ se nikalte the ba-diqqat
thā dam-ba-ḳhud ik goshe meñ simTā huā 'vāhī'
kam-baḳht ko thī saañs ke lene kī zarūrat
aur saañs ke lene kā na thā koī bhī imkāñ
thī band havā oxygen kī thī ye qillat
the ek buzurg us ke muqābil meñ jo baiThe
dekhī na ga.ī un se jo 'vāhī' kī ye hālat
farmāne lage aap kahāñ jāoge bhayyā
bardāsht bhī kar pāoge raste kī sa.ūbat
ye rail nahīñ hazrat-e-'saudā' kī hai ghoḌī
daur-e-zamīñ tai kartī hai ik din kī masāfat
kal is ko pahuñchnā thā jahāñ aaj hai pahuñchī
chaubīs pahar laTe hai allāh re sur.at
maiñ apnī tabāhī kā bayāñ kyā karūñ bhayyā
paTna meñ thī kal mere muqaddame kī samā.at
paTna hai magar aaj bhī dillī kī tarah duur
rotī hai mirī shāmat-e-a.amāl ko qismat
ye sunte hī kaan us ke khaḌe ho ga.e fauran
kī arz ki ye aap ne kyā kah diyā hazrat
maiñ ne to ye samjhā thā ki hai vaqt pe aa.ī
chaubīs pahar laTe qayāmat hai qayāmat
bole vo buzurg aap baḌe saada haiñ bhayyā
ham log kisī kaam meñ karte nahīñ ujlat
ma.alūm nahīñ aap ko ye nukta-e-tārīḳh
jo qaum kī ḳhaslat hai na hī rail kī ḳhaslat
vo rail kī raftār ho yā vaqt kī raftār
is mulk meñ donoñ ko tasāhul kī hai aadat
pābandi-e-auqāt meñ hai shān-e-ġhulāmī
āzād huā hind to kyā is kī zarūrat
darpesh achanak jo hui ek zarurat
'wahi' se hui rail pe chaDhne ki himaqat
aa dhamki zara waqt se pahle hi wo gaDi
'wahi' ne ghaDi dekhi to lahaq hui hairat
hairat thi ki tajil ki kya wajah hai aaKHir
taKHir to hai rail ki derina riwayat
al-qissa ticket manzil-e-maqsud ka le kar
asbab liye dauD ke pahuncha wo ba-ujlat
aage se bhi pichhe se bhi khata hua dhakke
daKHil hua ek chhoTe se Dabbe mein ba-diqqat
Dibba tha ki ek ganj-e-shahidan ka namuna
thoDi si jagah tang-tar az-gosha-e-turbat
turbat mein magar panw to phailate hain murde
zindon ko nahin rail mein us ki bhi suhulat
asbab pe baiTha tha koi Tang aDae
khiDki pe khaDa tha koi diwar ki surat
is bhiD mein gunjaish-e-alfaz kahan thi
alfaz bhi honTon se nikalte the ba-diqqat
tha dam-ba-KHud ek goshe mein simTa hua 'wahi'
kam-baKHt ko thi sans ke lene ki zarurat
aur sans ke lene ka na tha koi bhi imkan
thi band hawa oxygen ki thi ye qillat
the ek buzurg us ke muqabil mein jo baiThe
dekhi na gai un se jo 'wahi' ki ye haalat
farmane lage aap kahan jaoge bhayya
bardasht bhi kar paoge raste ki saubat
ye rail nahin hazrat-e-'sauda' ki hai ghoDi
daur-e-zamin tai karti hai ek din ki masafat
kal is ko pahunchna tha jahan aaj hai pahunchi
chaubis pahar laTe hai allah re surat
main apni tabahi ka bayan kya karun bhayya
paTna mein thi kal mere muqaddame ki samaat
paTna hai magar aaj bhi dilli ki tarah dur
roti hai meri shamat-e-amal ko qismat
ye sunte hi kan us ke khaDe ho gae fauran
ki arz ki ye aap ne kya kah diya hazrat
main ne to ye samjha tha ki hai waqt pe aai
chaubis pahar laTe qayamat hai qayamat
bole wo buzurg aap baDe sada hain bhayya
hum log kisi kaam mein karte nahin ujlat
malum nahin aap ko ye nukta-e-tariKH
jo qaum ki KHaslat hai na hi rail ki KHaslat
wo rail ki raftar ho ya waqt ki raftar
is mulk mein donon ko tasahul ki hai aadat
pabandi-e-auqat mein hai shan-e-ghulami
aazad hua hind to kya is ki zarurat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.