rail ki do paTriyan
na jaane kab se ham donoñ saath haiñ
rail kī do paTriyoñ kī tarah
rail kī do paTriyoñ kī tarah
ham sadā saath chale
saath pahāḌ chaḌhe utre
saath dariyā paar kiye
bastī station jangal sahrā sab saath dekhe
tere saath bahutoñ ne din guzāre
maiñ bhī kisī kī ziist kā amiiñ rahā
sab saath chhoḌ ga.e
terā bhī aur merā bhī
saath rahe to bas ham donoñ
rail kī do paTriyoñ kī tarah
aur sadā
ek dūsre se duur rahe
rail kī do paTriyoñ kī tarah
na jaane kab se hum donon sath hain
rail ki do paTriyon ki tarah
rail ki do paTriyon ki tarah
hum sada sath chale
sath pahaD chaDhe utre
sath dariya par kiye
basti station jangal sahra sab sath dekhe
tere sath bahuton ne din guzare
main bhi kisi ki zist ka amin raha
sab sath chhoD gae
tera bhi aur mera bhi
sath rahe to bas hum donon
rail ki do paTriyon ki tarah
aur sada
ek dusre se dur rahe
rail ki do paTriyon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.