raKHt-e-safar
ḳhālī kamre meñ mirā raḳht-e-safar rakkhā hai
chand armān haiñ poshīda nihāñ-ḳhāne meñ
kirchiyāñ ḳhvāb kī rakkhī haiñ hifāzat se kahīñ
aur kuchh phuul chhupā rakkhe haiñ anjāne meñ
DhūñDhtī phirtī rahī ruuh kisī sāthī ko
dar-ba-dar Thokareñ khātā rahā pindār mirā
apnī miTTī se bhī uTThī nahīñ soñdhī ḳhushbū
ġhair ke des meñ luTtā rahā sansār mirā
ajnabī āñkhoñ meñ mānūs vafāoñ kā charāġh
ek ummīd pe jaltā rahā ghup rātoñ meñ
jism miTTī kī tarah ghultā rahā paanī meñ
rañg be-rañg hue jaate the barsātoñ meñ
terī ummīd pe kholā huā dar rakkhā hai
ḳhālī kamre meñ mirā raḳht-e-safar rakkhā hai
KHali kamre mein mera raKHt-e-safar rakkha hai
chand arman hain poshida nihan-KHane mein
kirchiyan KHwab ki rakkhi hain hifazat se kahin
aur kuchh phul chhupa rakkhe hain anjaane mein
DhunDhti phirti rahi ruh kisi sathi ko
dar-ba-dar Thokaren khata raha pindar mera
apni miTTi se bhi uTThi nahin sondhi KHushbu
ghair ke des mein luTta raha sansar mera
ajnabi aankhon mein manus wafaon ka charagh
ek ummid pe jalta raha ghup raaton mein
jism miTTi ki tarah ghulta raha pani mein
rang be-rang hue jate the barsaton mein
teri ummid pe khola hua dar rakkha hai
KHali kamre mein mera raKHt-e-safar rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.