rang apne
ek dīvār
aur us par vo mire naqsh-o-nigār
merī dīvār pe da.avā so ye da.avā kaisā
ek dīvār pe dīvār ke rangoñ pe kahāñ ḳhatm ye baat
ek pichkārī kī haiñ maar ye sab naqsh-o-nigār
jaao jaane do ise
aur khurach le jaa.e
naqsh kyā hai mire hāthoñ kā taharruk hai bas
rang kyā haiñ mire hāthoñ meñ dabī pichkārī
shahr kyā hai mirī āñkhoñ meñ basī dīvāreñ
rang mere haiñ lakīreñ haiñ mirī mere qalam
rang dūñgā maiñ zarā der meñ ye shahr tamām
naqsh kar dūñgā nigāhoñ pe ye rangoñ kā fusūñ
aur rauzan nazar ā.eñgī sabhī dīvāreñ
ek dīvār pe da.avā so ye da.avā kaisā
ek diwar
aur us par wo mere naqsh-o-nigar
meri diwar pe dawa so ye dawa kaisa
ek diwar pe diwar ke rangon pe kahan KHatm ye baat
ek pichkari ki hain mar ye sab naqsh-o-nigar
jao jaane do ise
aur khurach le jae
naqsh kya hai mere hathon ka taharruk hai bas
rang kya hain mere hathon mein dabi pichkari
shahr kya hai meri aankhon mein basi diwaren
rang mere hain lakiren hain meri mere qalam
rang dunga main zara der mein ye shahr tamam
naqsh kar dunga nigahon pe ye rangon ka fusun
aur rauzan nazar aaengi sabhi diwaren
ek diwar pe dawa so ye dawa kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.