rang-o-nur ki raat
ye rang-o-nūr kī barsāt
jugnūoñ kī barāt
bikhar rahī hai fazāoñ meñ kahkashāñ kī tarah
ujāle kitnī hī rātoñ kā zahr pī pī kar
ba-sad-ḳhulūs ba-andāz-e-dil-kashī ab bhī
siyāh rātoñ meñ tārīkiyoñ ke chehroñ par
ubhar rahe haiñ magar
yahāñ hai kitnī nigāhoñ meñ raushnī kā chalan
diloñ meñ kitne ziyā le rahī hai añgḌā.ī
nazar nazar meñ dhuñdalkā
dhuāñ dhuāñ āñkheñ
bisāt-e-dil pe udāsī kā raqs jaarī hai
udaas haiñ dar-o-dīvār
bujhe bujhe se ghar
haiñ kitne aise makāñ jin meñ diip jalte haiñ
ye raat vo hai ki tārīkiyoñ ke dāman meñ
kahīñ pe dosto ḳhushiyoñ ke jal rahe haiñ charāġh
kahīñ pe zaḳhm sulagte haiñ dil pighalte haiñ
ye rang-o-nur ki barsat
jugnuon ki baraat
bikhar rahi hai fazaon mein kahkashan ki tarah
ujale kitni hi raaton ka zahr pi pi kar
ba-sad-KHulus ba-andaz-e-dil-kashi ab bhi
siyah raaton mein tarikiyon ke chehron par
ubhar rahe hain magar
yahan hai kitni nigahon mein raushni ka chalan
dilon mein kitne ziya le rahi hai angDai
nazar nazar mein dhundalka
dhuan dhuan aankhen
bisat-e-dil pe udasi ka raqs jari hai
udas hain dar-o-diwar
bujhe bujhe se ghar
hain kitne aise makan jin mein dip jalte hain
ye raat wo hai ki tarikiyon ke daman mein
kahin pe dosto KHushiyon ke jal rahe hain charagh
kahin pe zaKHm sulagte hain dil pighalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.