rangin jild
tum merī mazbūt sī dīvār ho
mere kamzor paloñ kī jild sī
tabhī har mausam se be-ḳhauf bachāyā hai use
jild saḳht aur vahī rañgīn sī rahe
pichhle baras yaad hai
kitnī umas thī
ham galne se lage the āñsuoñ se yā badle
mausam se
shāyad donoñ se
jāntī huuñ jild kī fitrat
kasī bañdhī puḳhta kone ruñdne ke ba.ad
bhī mazbūt sī
lekin ab safhe galne lage
be-vaqt mausam se
sambhāl sako to muḌā.ī kar lo phir se
aksar purānī jild na.e safhoñ meñ be-ma.ānī be-raunaq sī ma.alūm hotī hai
safhe lugdī se gal jaa.e kahīñ
tum meri mazbut si diwar ho
mere kamzor palon ki jild si
tabhi har mausam se be-KHauf bachaya hai use
jild saKHt aur wahi rangin si rahe
pichhle baras yaad hai
kitni umas thi
hum galne se lage the aansuon se ya badle
mausam se
shayad donon se
jaanti hun jild ki fitrat
kasi bandhi puKHta kone rundne ke baad
bhi mazbut si
lekin ab safhe galne lage
be-waqt mausam se
sambhaal sako to muDai kar lo phir se
aksar purani jild nae safhon mein be-maani be-raunaq si malum hoti hai
safhe lugdi se gal jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.