raqs-e-musalsal
tum kahte ho mujh se aksar
merī taraf se lau kī lapTeñ ujlī shuā.eñ
nikhar nikhar ke bikhar bikhar ke
tum ko nā-ma.alūm hisāroñ meñ le letī haiñ
be-ḳhud kartī rahtī haiñ
maiñ ne bhī dekhā hai tum ko
sarmastī meñ be-ḳhud hote
haal ke taarī ho jaane tak
ḳhushbū-ban meñ raqs-e-musalsal karte hue
jham jham barastī bārish meñ
raqs-e-musalsal karte hue jānib-e-dariyā
raqs-e-musalsal karte hue mahv-e-nazāra
raqs-e-musalsal karte hue ġharq-e-tamannā
tum kahte ho mujh se aksar
meri taraf se lau ki lapTen ujli shuaen
nikhar nikhar ke bikhar bikhar ke
tum ko na-malum hisaron mein le leti hain
be-KHud karti rahti hain
main ne bhi dekha hai tum ko
sarmasti mein be-KHud hote
haal ke tari ho jaane tak
KHushbu-ban mein raqs-e-musalsal karte hue
jham jham barasti barish mein
raqs-e-musalsal karte hue jaanib-e-dariya
raqs-e-musalsal karte hue mahw-e-nazara
raqs-e-musalsal karte hue gharq-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.