raqs-e-sukut
Interesting Fact
(فرقہ وارانہ فسادات کے پس منظر میں)
har taraf ek pur-asrār sī tārīkī hai
koī aahaT nahīñ āvāz nahīñ shor nahīñ
vo ḳhamoshī hai ki tāroñ kā bhī dam ghuTtā hai
chāñd hairāñ hai ki ruk jaa.e na shab kī dhaḌkan
raat rotī hai ki tham jaa.e na ḳhud chāñd kī saañs
vahshat-e-fikr se kaliyoñ kī nigāheñ ḳhāmosh
shiddat-e-ġham se havāoñ kī haiñ sāñseñ larzāñ
gardish-e-vaqt ne lī hai vo bhayānak karvaT
saaz ke badle ab hāthoñ meñ hai sang-e-ātish
jin laboñ par the tarannum ke sitāre raqsāñ
jin nigāhoñ meñ tabassum kī thī ḳhvābīda bahār
miT ga.e ek hī jhoñke se vo raḳhshanda nuqūsh
gir paḌā ek hī āñdhī meñ vo aivān-e-nigār
ab musallat hai lab-e-nai pe sharāroñ kā hujūm
chang-e-ehsās hai gum apne hī sannāToñ meñ
ajnabiyyat kā vo māhaul hai taarī har-sū
chashm-e-iḳhlās ġhazal-ḳhvāñ hai bayābānoñ meñ
ab bhī hai vaqt sañbhal jaao lapakte saayo
ab bhī chehre se haTā lo ye dahaktī sī naqāb
varna barsāte rahe tum jo ye sho.aloñ kī phuvār
ḳhud taras jāoge phūloñ kī hañsī ko ik roz
har taraf ek pur-asrar si tariki hai
koi aahaT nahin aawaz nahin shor nahin
wo KHamoshi hai ki taron ka bhi dam ghuTta hai
chand hairan hai ki ruk jae na shab ki dhaDkan
raat roti hai ki tham jae na KHud chand ki sans
wahshat-e-fikr se kaliyon ki nigahen KHamosh
shiddat-e-gham se hawaon ki hain sansen larzan
gardish-e-waqt ne li hai wo bhayanak karwaT
saz ke badle ab hathon mein hai sang-e-atish
jin labon par the tarannum ke sitare raqsan
jin nigahon mein tabassum ki thi KHwabida bahaar
miT gae ek hi jhonke se wo raKHshanda nuqush
gir paDa ek hi aandhi mein wo aiwan-e-nigar
ab musallat hai lab-e-nai pe shararon ka hujum
chang-e-ehsas hai gum apne hi sannaTon mein
ajnabiyyat ka wo mahaul hai tari har-su
chashm-e-iKHlas ghazal-KHwan hai bayabanon mein
ab bhi hai waqt sanbhal jao lapakte sayo
ab bhi chehre se haTa lo ye dahakti si naqab
warna barsate rahe tum jo ye shoalon ki phuwar
KHud taras jaoge phulon ki hansi ko ek roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.