raste ruTh jate hain
agar pāmāl rāhoñ par qadam rakhne kī aadat ḳhatm ho jaa.e
mashām-e-jāñ meñ ḳhushbū kī bajā.e dard dar aa.e
visāl āmāda shah-rāhoñ pe furqat kā baserā ho
ik aisā vaqt aa jaa.e
jo terā ho na merā ho
mohabbat kī sunahrī jhiil par ġham kī ghanerī raat chhā.ī ho
kināroñ par faqat nam-dīda tanhā.ī kī kaa.ī ho
chamakte pāniyoñ par thartharāte aks kho jaa.eñ
rū-pahlī dhuup meñ sarsabz pagDanDī achānak zard paḌ jaa.e
samundar kī namīda ret par naqsh-e-qadam lahreñ nigal jaa.eñ
vo āñkheñ jin meñ sat-range sajīle ḳhvāb rahte haiñ
vahāñ aaseb bas jaa.eñ
jo donoñ samt se sāya-fagan peḌoñ tale bhī chilchilātī dhuup phailī ho
jahāñ har roz jaanā ho
to raste ruuTh jaate haiñ
agar pamal rahon par qadam rakhne ki aadat KHatm ho jae
masham-e-jaan mein KHushbu ki bajae dard dar aae
visal aamada shah-rahon pe furqat ka basera ho
ek aisa waqt aa jae
jo tera ho na mera ho
mohabbat ki sunahri jhil par gham ki ghaneri raat chhai ho
kinaron par faqat nam-dida tanhai ki kai ho
chamakte paniyon par thartharaate aks kho jaen
ru-pahli dhup mein sarsabz pagDanDi achanak zard paD jae
samundar ki namida ret par naqsh-e-qadam lahren nigal jaen
wo aankhen jin mein sat-range sajile KHwab rahte hain
wahan aaseb bas jaen
jo donon samt se saya-fagan peDon tale bhi chilchilati dhup phaili ho
jahan har roz jaana ho
to raste ruTh jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.