raushni gul na karo
raushnī gul na karo varna kisī sog kā zahr
in darīchoñ ke hasīñ rang pe chhā jā.egā
saḳht-jāñ kohr kī mānind fazāoñ kā sukūt
nik.hat-o-nūr ke āhang pe chhā jā.egā
ruuh meñ tairtā jaatā hai ujāloñ kā surūr
jaise in sham.oñ kī ek ek kiran saaqī hai
abhī Dhalkā hī kahāñ pichhle pahar kā āñchal
raushnī gul na karo raat abhī baaqī hai
nuqra.ī kirnoñ ke gahvāre meñ soī huī raat
jaane kyā hai ki har āvāz pe chauñk uThtī hai
ajnabī ban ke bulātā hai dhaḌaktā huā dil
zindagī apne hī andāz pe chauñk uThtī hai
raushnī gul na karo varna ye suune dar-o-bām
apne hī sāyoñ ke girdāb meñ chakrā.eñge
mirī duniyā se ye tham-tham ke guzarte lamhāt
dukh kī ghaḌiyoñ kī tarah aur bhī tham jā.eñge
aur be-ḳhvāb nigāhoñ kā taqāzā ye hai
munjamid lamhoñ kā shīrāza bikhartā jaa.e
sā.ateñ baḌhtī chalī jaa.eñ havā kī sūrat
bahtī naddī kī tarah vaqt guzartā jaa.e
dosto hamdamo jalne do ye sham.eñ varna
bahke lamhoñ kā qadam aur bahak jā.egā
muskurā.egā zubūñ-kār añdheroñ kā ġhurūr
vaqt kā qāfila raste se bhaTak jā.egā
vaqt kā qāfila bhaTkā to vo rangīñ lamha
muntazir jis kī hai ye raat na aa pā.egā
munjamid raat na pighlī to vo rangīñ lamha
dard kī barf meñ dam toḌ ke rah jā.egā
vaqt kī raah na roko na bujhāo sham.eñ
aks ujāloñ kā dar-o-bām pe lahrāne do
muntazir jis kī hai ye raat us ik lamhe ko
dil kī āġhosh-e-tamanna meñ simaT aane do
raushnī gul na karo varna vo lamha kyā hai
ūñghte ziine pe afsāne na kah pā.eñge
bol pā.egā na chilman kā pur-asrār sukūt
bām-o-dar raat kā muñh dekhte rah jā.eñge
tīrgī chhā.ī to zulfoñ kā mahaktā jaadū
bhuul jaa.e na kahīñ raah mire shānoñ kī
raushnī hī jinheñ parvān chaḌhā saktī hai
surḳhiyāñ mujh se na chhin jaa.eñ in afsānoñ kī
raushnī gul na karo varna vo rangīñ lamha
dil kī āġhosh-e-tamannā meñ na aa pā.egā
sahn ke qadmoñ pe zīnoñ kī jabīñ hai lekin
tīrgī chhā.ī to ye fāsla baḌh jā.egā
baat maano ki añdhere ke thapeḌe khā kar
merī ummīdoñ ke fānūs bhī bujh jā.eñge
raushnī gul na karo varna vo lamha kyā hai
ūñghte ziine pe afsāna na kah pā.eñge
tīrgī chhā.ī to phir sub.h na ho pā.egī
raat ke baa'd phir ik raat chalī aa.egī
raushni gul na karo warna kisi sog ka zahr
in darichon ke hasin rang pe chha jaega
saKHt-jaan kohr ki manind fazaon ka sukut
nikhat-o-nur ke aahang pe chha jaega
ruh mein tairta jata hai ujalon ka surur
jaise in shamon ki ek ek kiran saqi hai
abhi Dhalka hi kahan pichhle pahar ka aanchal
raushni gul na karo raat abhi baqi hai
nuqrai kirnon ke gahware mein soi hui raat
jaane kya hai ki har aawaz pe chaunk uThti hai
ajnabi ban ke bulata hai dhaDakta hua dil
zindagi apne hi andaz pe chaunk uThti hai
raushni gul na karo warna ye sune dar-o-baam
apne hi sayon ke girdab mein chakraenge
meri duniya se ye tham-tham ke guzarte lamhat
dukh ki ghaDiyon ki tarah aur bhi tham jaenge
aur be-KHwab nigahon ka taqaza ye hai
munjamid lamhon ka shiraaza bikharta jae
saaten baDhti chali jaen hawa ki surat
bahti naddi ki tarah waqt guzarta jae
dosto hamdamo jalne do ye shamen warna
bahke lamhon ka qadam aur bahak jaega
muskuraega zubun-kar andheron ka ghurur
waqt ka qafila raste se bhaTak jaega
waqt ka qafila bhaTka to wo rangin lamha
muntazir jis ki hai ye raat na aa paega
munjamid raat na pighli to wo rangin lamha
dard ki barf mein dam toD ke rah jaega
waqt ki rah na roko na bujhao shamen
aks ujalon ka dar-o-baam pe lahrane do
muntazir jis ki hai ye raat us ek lamhe ko
dil ki aaghosh-e-tamanna mein simaT aane do
raushni gul na karo warna wo lamha kya hai
unghte zine pe afsane na kah paenge
bol paega na chilman ka pur-asrar sukut
baam-o-dar raat ka munh dekhte rah jaenge
tirgi chhai to zulfon ka mahakta jadu
bhul jae na kahin rah mere shanon ki
raushni hi jinhen parwan chaDha sakti hai
surKHiyan mujh se na chhin jaen in afsanon ki
raushni gul na karo warna wo rangin lamha
dil ki aaghosh-e-tamanna mein na aa paega
sahn ke qadmon pe zinon ki jabin hai lekin
tirgi chhai to ye fasla baDh jaega
baat mano ki andhere ke thapeDe kha kar
meri ummidon ke fanus bhi bujh jaenge
raushni gul na karo warna wo lamha kya hai
unghte zine pe afsana na kah paenge
tirgi chhai to phir subh na ho paegi
raat ke ba'd phir ek raat chali aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.