raushni ka charagh
kitne parvāne jaan dene ko
gir rahe haiñ ḳhamosh sham.oñ par
sard rātoñ meñ zabt-e-girya se
ashk aa aa ga.e haiñ palkoñ par
ujḌā ujḌā sā ye jo kamra hai
koī kursī na koī mez yahāñ
copiyāñ parche aur kitābeñ sab
in ko dīmak se maiñ bachā.ūñ kahāñ
ek saal aur rah gayā hai ab
ḳhatm ho jā.egī mirī ta.alīm
ḳhaak jab dar-ba-dar kī chhānūñgā
kar sakūñgā na ziist kī tāzīm
bhaa.ī bahnoñ ko ḳharch denā hai
un se va.ada bhī kar nahīñ saktā
ādamiyyat kā paas hai varna
zahr khā kar maiñ aaj so rahtā
aaj phir diq ne merī baajī ko
jā ke pardes meñ daboch liyā
kal jo pinDī se us kā ḳhat aaya
merā siina kisī ne noch liyā
baT gayā mulk ho ga.e taqsīm
ham-nafas aur mohabbatoñ ke amiin
kyā isī fasl-e-gul kā saudā thā
ḳhaak aur ḳhuuñ ugal rahī haiñ ruteñ
ek dil thā jo haat se koī
le uḌā ik nigāh ke badle
vāh-vā ho ga.ī jahāñ bhar meñ
kyā milā mujh ko aah ke badle
dukh ke ehsās ke tale dab kar
TuuT jaa.e na aaj merī lai
kyoñ na har ġham ko rāz-dān karūñ
merā fan hī to merī duniyā hai
fan se goyā panāh miltī hai
varna ġham kā abhī ilaaj kahāñ
jis se dil bāġh-bāġh ho jaa.e
us mohabbat kā hai rivāj kahāñ
kitnī vīrān raat hai lekin
phailtī jā rahī hai bū-e-vafā
phir koī sochtā hai zulmat meñ
raushnī kā charāġh gul na huā
kitne parwane jaan dene ko
gir rahe hain KHamosh shamon par
sard raaton mein zabt-e-girya se
ashk aa aa gae hain palkon par
ujDa ujDa sa ye jo kamra hai
koi kursi na koi mez yahan
copiyan parche aur kitaben sab
in ko dimak se main bachaun kahan
ek sal aur rah gaya hai ab
KHatm ho jaegi meri talim
KHak jab dar-ba-dar ki chhanunga
kar sakunga na zist ki tazim
bhai bahnon ko KHarch dena hai
un se wada bhi kar nahin sakta
aadamiyyat ka pas hai warna
zahr kha kar main aaj so rahta
aaj phir diq ne meri baji ko
ja ke pardes mein daboch liya
kal jo pinDi se us ka KHat aaya
mera sina kisi ne noch liya
baT gaya mulk ho gae taqsim
ham-nafas aur mohabbaton ke amin
kya isi fasl-e-gul ka sauda tha
KHak aur KHun ugal rahi hain ruten
ek dil tha jo hat se koi
le uDa ek nigah ke badle
wah-wa ho gai jahan bhar mein
kya mila mujh ko aah ke badle
dukh ke ehsas ke tale dab kar
TuT jae na aaj meri lai
kyon na har gham ko raaz-dan karun
mera fan hi to meri duniya hai
fan se goya panah milti hai
warna gham ka abhi ilaj kahan
jis se dil bagh-bagh ho jae
us mohabbat ka hai riwaj kahan
kitni viran raat hai lekin
phailti ja rahi hai bu-e-wafa
phir koi sochta hai zulmat mein
raushni ka charagh gul na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.