raushni ka manara
Interesting Fact
Dedicated to Sayyid Hamid, Aligarh, August 1986
yak-o-tanhā
havādis kī havā.eñ sarsarātī haiñ
koī fānūs
āñdhī aa.ī
sham.eñ bujhtī jaatī haiñ
havādis kī havā se sham.a bachtī hai na parvāne
to phir ye ek mash.al kaise raushan hai
ḳhudā jaane
sahar-dam sāmne rahtī hai
vaqt-e-shām jaltī hai
kaleja kholtā hai
raushnī us se nikaltī hai
ubalte dil kī garmī gaah aa jaatī hai hoñToñ par
badan jis se jhulas jaate haiñ
dariyāoñ ke sāhil par
shafaq ke rang baḌh jaate haiñ
kitne shoḳh hote haiñ
fazā meñ zarre Takrāte haiñ
taare TuuT jaate haiñ
ḳhalāoñ meñ farishte dauḌne lagte haiñ
paiġhambar manāzir ke
shagūfe phūTte haiñ
de ke apnā sar
garajte megh ke hāthī haiñ
ran meñ
hun barastā hai
barahna jism
jo taptā thā
yuuñ sairāb hotā hai
uTho ai āñdhiyo
kaalī ghaTā.eñ saath meñ laao
fazā muddat se gard-ālūd hai
kuchh meñh barsāo
zamāna ke samundar meñ
bahut sī sīpiyāñ
muñh khole taktī haiñ
hamārī nāznīnoñ ke gale
ghuTne lage masnūī hāroñ se
ghire haiñ aaj bhī ghanghor bādal
āñdhiyāñ bhī aatī jaatī haiñ
garaj hai
ghan hai
Dar hai
jhuuT hai
sach sahmā jaatā hai
magar hai raushnī phir bhī
agar kam-kam hai
paiham hai
hamārī bastiyoñ meñ jo nahīñ hai
apnā dam-ḳham hai
batāo ham
manāre kyoñ nahīñ bante
yak-o-tanha
hawadis ki hawaen sarsaraati hain
koi fanus
aandhi aai
shamen bujhti jati hain
hawadis ki hawa se shama bachti hai na parwane
to phir ye ek mashal kaise raushan hai
KHuda jaane
sahar-dam samne rahti hai
waqt-e-sham jalti hai
kaleja kholta hai
raushni us se nikalti hai
ubalte dil ki garmi gah aa jati hai honTon par
badan jis se jhulas jate hain
dariyaon ke sahil par
shafaq ke rang baDh jate hain
kitne shoKH hote hain
faza mein zarre Takraate hain
tare TuT jate hain
KHalaon mein farishte dauDne lagte hain
paighambar manazir ke
shagufe phuTte hain
de ke apna sar
garajte megh ke hathi hain
ran mein
hun barasta hai
barahna jism
jo tapta tha
yun sairab hota hai
uTho ai aandhiyo
kali ghaTaen sath mein lao
faza muddat se gard-alud hai
kuchh meinh barsao
zamana ke samundar mein
bahut si sipiyan
munh khole takti hain
hamari nazninon ke gale
ghuTne lage masnui haaron se
ghire hain aaj bhi ghanghor baadal
aandhiyan bhi aati jati hain
garaj hai
ghan hai
Dar hai
jhuT hai
sach sahma jata hai
magar hai raushni phir bhi
agar kam-kam hai
paiham hai
hamari bastiyon mein jo nahin hai
apna dam-KHam hai
batao hum
manare kyon nahin bante
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.