raushni ki talash
mohabbat raushnī gītoñ kī ḳhushbū
tumhārī justujū meñ pur-fishāñ hai
ye lamha ajnabī manzil kā raahī
misāl-e-mauja-e-dariyā ravāñ hai
lab-o-gesū kī bhī ik intihā hai
lab-o-gesū kī bhī ik intihā hai
ġham-e-dil kī magar manzil kahāñ hai
na tanhā.ī ye sannāTā ye aañsū
tamannāoñ kī sham.oñ kī qatāreñ
diloñ ke zaḳhm yādoñ ke janāze
dahakte phuul kajlā.ī bahāreñ
ḳhalā meñ Dolte haiñ dukh ke saa.e
koī apnā nahīñ kis ko pukāreñ
dil-e-vīrāñ kā ik partav hai jis ne
jahāñ meñ shām-e-ġham kā naam paayā
kabhī jo dard kī shiddat se chīḳhe
to duniyā ne use ik giit samjhā
unhīñ chīḳhoñ meñ Dhālā maiñ ne tujh ko
unhīñ chīḳhoñ meñ tujh ko maiñ ne paayā
thiraktī raushnī kī chand lahreñ
bahaktī chāñdnī meñ ek saayā
mohabbat raushni giton ki KHushbu
tumhaari justuju mein pur-fishan hai
ye lamha ajnabi manzil ka rahi
misal-e-mauja-e-dariya rawan hai
lab-o-gesu ki bhi ek intiha hai
lab-o-gesu ki bhi ek intiha hai
gham-e-dil ki magar manzil kahan hai
na tanhai ye sannaTa ye aansu
tamannaon ki shamon ki qataren
dilon ke zaKHm yaadon ke janaze
dahakte phul kajlai bahaaren
KHala mein Dolte hain dukh ke sae
koi apna nahin kis ko pukaren
dil-e-viran ka ek partaw hai jis ne
jahan mein sham-e-gham ka nam paya
kabhi jo dard ki shiddat se chiKHe
to duniya ne use ek git samjha
unhin chiKHon mein Dhaala main ne tujh ko
unhin chiKHon mein tujh ko main ne paya
thirakti raushni ki chand lahren
bahakti chandni mein ek saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.