raushni se bhara shahr
raushnī se bharā ik shahr dekhiye
dil meñ saare añdhere chhupā.e hue
kone meñ katre meñ kachre ke Dhere
saḌī tang galiyoñ meñ badbū ke Dere
dhasaktī dīvāroñ ke pur-ḳhauf ghere
thakī zard āñkhoñ ke bīmār chehre
jin ko sadiyāñ huiiñ muskurā.e hue
raushnī se bharā ik shahr
jahāñ naunihāloñ meñ bachpan nahīñ hai
javānī jahāñ khilkhilātī nahīñ hai
jahāñ aadmī aadmī sā nahīñ hai
jahāñ zindagī zindagī hī nahīñ hai
ḳhushī chhup ga.ī muñh churā.e hue
raushnī se bharā ik shahr
irādoñ se ūñchī imārat jahāñ pe
sadiyoñ se lambī haiñ saḌkeñ jahāñ pe
bhaTakte hue phir bhī haiñ sab yahāñ pe
ye kis kā shahr hai haiñ kyuuñ sab yahāñ pe
ki hausle sab ke haiñ charmarā.e hue
raushnī se bharā ik shahar
ye hiire kā byopār shīshe se kar deñ
ye maaoñ ko biibī ko nīlam kar deñ
milāte hue haath kab vaar kar deñ
do Take meñ ye bastī ko barbād kar deñ
sāhab-e-dahr ban ke phirte haiñ ye jo
ḳhazāne haiñ sab ke churā.e hue
raushnī se bharā ik shahr
raushnī ke tale un añdheroñ meñ gum
sahte hue laakh zulm-o-sitam
sahī log bhī haiñ vale haiñ ye kam
jo koshish meñ haiñ ki miTā deñ ye tam
ummīdeñ sabhī un se haiñ lagā.e hue
raushnī se bharā ik shahr
raushni se bhara ek shahr dekhiye
dil mein sare andhere chhupae hue
kone mein katre mein kachre ke Dhere
saDi tang galiyon mein badbu ke Dere
dhasakti diwaron ke pur-KHauf ghere
thaki zard aankhon ke bimar chehre
jin ko sadiyan huin muskurae hue
raushni se bhara ek shahr
jahan naunihaalon mein bachpan nahin hai
jawani jahan khilkhilati nahin hai
jahan aadmi aadmi sa nahin hai
jahan zindagi zindagi hi nahin hai
KHushi chhup gai munh churae hue
raushni se bhara ek shahr
iradon se unchi imarat jahan pe
sadiyon se lambi hain saDken jahan pe
bhaTakte hue phir bhi hain sab yahan pe
ye kis ka shahr hai hain kyun sab yahan pe
ki hausle sab ke hain charmarae hue
raushni se bhara ek shahar
ye hire ka byopar shishe se kar den
ye maon ko bibi ko nilam kar den
milate hue hath kab war kar den
do Take mein ye basti ko barbaad kar den
sahab-e-dahr ban ke phirte hain ye jo
KHazane hain sab ke churae hue
raushni se bhara ek shahr
raushni ke tale un andheron mein gum
sahte hue lakh zulm-o-sitam
sahi log bhi hain wale hain ye kam
jo koshish mein hain ki miTa den ye tam
ummiden sabhi un se hain lagae hue
raushni se bhara ek shahr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.