rawangi
Interesting Fact
Asri Adab-Delhi
jahāñ pe maiñ huuñ
bas ek kuhra-zada fazā hai
jidhar bhī dekho safed chādar Tañgī huī hai
nahīñ hai koī zamīn aisī ki jis pe meñ apne paañv rakhūñ
buland-o-bālā pahāḌoñ se
hazāroñ patthar luḌhak rahe haiñ
aur āñdhiyāñ sīTiyāñ bajātī guzar rahī haiñ
qadīm bhūrī pahāḌiyoñ se vo kārvāñ bhī to TuuT aayā
talāsh meñ jo na jaane kis kī bahut dinoñ se bhaTak rahā thā
vo garz-bardār sab farishte bhī mar chuke haiñ
jo ḳhair-o-shar par nigāh rakhne ke vāste the
koī bhī mīzān nek-o-bad kī nahīñ hai qaa.em
yahāñ ab apne qayām kī koī saa.at mo'atabar nahīñ hai
uThāo sāhil se kashtiyoñ ko
bahāo kā vaqt ho gayā hai
jahan pe main hun
bas ek kuhra-zada faza hai
jidhar bhi dekho safed chadar Tangi hui hai
nahin hai koi zamin aisi ki jis pe mein apne panw rakhun
buland-o-baala pahaDon se
hazaron patthar luDhak rahe hain
aur aandhiyan siTiyan bajati guzar rahi hain
qadim bhuri pahaDiyon se wo karwan bhi to TuT aaya
talash mein jo na jaane kis ki bahut dinon se bhaTak raha tha
wo garz-bardar sab farishte bhi mar chuke hain
jo KHair-o-shar par nigah rakhne ke waste the
koi bhi mizan nek-o-bad ki nahin hai qaem
yahan ab apne qayam ki koi saat mo'atabar nahin hai
uThao sahil se kashtiyon ko
bahao ka waqt ho gaya hai
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 54)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.