recyclebin
lafz vāpas nahīñ huā karte
talḳhiyoñ meñ ghule hue lahje
zarf ke haath kyā hī māhir hoñ
phuul ban kar nahīñ khilā karte
hazf karne kā aasrā le kar
koī tahrīr likh nahīñ denā
bhuul jaane kī iltijā le kar
mat kaho koī harf-e-nā-bīnā
kal jo ḳhālī gayā thā vaar koī
kārgar aaj ho bhī saktā hai
bhūlī-bisrī gavāhiyoñ kā shajar
bār-var aaj ho bhī saktā hai
nazar-andāz hone vaalā dard
mo'atabar aaj ho bhī saktā hai
vaqt kī dhuul meñ ulajh kar bhī
zinda rahtā hai saañs letā hai
naqsh āvāz kā ho harf kā ho
laakh ġhā.eb karo nigāhoñ se
dil ke andar kahīñ pe rahtā hai
naqsh ban kar nahīñ miTā karte
lafz wapas nahin hua karte
talKHiyon mein ghule hue lahje
zarf ke hath kya hi mahir hon
phul ban kar nahin khila karte
hazf karne ka aasra le kar
koi tahrir likh nahin dena
bhul jaane ki iltija le kar
mat kaho koi harf-e-na-bina
kal jo KHali gaya tha war koi
kargar aaj ho bhi sakta hai
bhuli-bisri gawahiyon ka shajar
bar-war aaj ho bhi sakta hai
nazar-andaz hone wala dard
mo'atabar aaj ho bhi sakta hai
waqt ki dhul mein ulajh kar bhi
zinda rahta hai sans leta hai
naqsh aawaz ka ho harf ka ho
lakh ghaeb karo nigahon se
dil ke andar kahin pe rahta hai
naqsh ban kar nahin miTa karte
- Book : Gul-e-Dupahar (Pg. 34)
- Author : Saima Asma
- Publication : Idarah Batool, Sayyed Palaza, Firozpur Road (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.