registan mein jhil
sunā karte the ab tak
regzāroñ meñ kahīñ bhī duur tak
paanī nahīñ miltā
magar ik baar jab ham
ret ke jalte hue zarroñ pe nange paañv chal kar
lahū barsāte sūraj se nigāheñ chaar karte
paañv meñ chhāle sajā.e
paanī ke chand ek qatre DhūñDte
qadam aage baḌhā.e jā rahe the
lahū kī tez baḌhtī gardisheñ
maddham se maddham-tar hī hotī jā rahī thiiñ
zindagī mādūm hotī jā rahī thiiñ
achānak hairatoñ meñ Duub kar ham ne ye dekhā
ik baḌī jaadū bharī sī jhiil hai
jis meñ ki tā-hadd-e-nazar
qaus-o-quzah ke rang bikhre haiñ
ubhartī Dūbtī lahreñ
baḌā jaadū jagātī raqs kartī
nāchtī lahreñ
samundar sabz lahreñ nīlgūñ lahreñ
safed aur champa.ī lahreñ
aur un ke bhī sivā
baḌī hī siyāh gahrī surmagīñ lahreñ
jhiil kī lahroñ kā jaadū
ruuh ko sarshār sā kartā rahā
ziist ke ġham kā mudāvā ban gayā
kināre baiTh kar
us jhiil ke paanī meñ ham ne der tak jhāñkā
ḳhud apne aap se milte rahe
ḳhud apne aap ko pahchānñe kī koshish karte rahe
suna karte the ab tak
regzaron mein kahin bhi dur tak
pani nahin milta
magar ek bar jab hum
ret ke jalte hue zarron pe nange panw chal kar
lahu barsate suraj se nigahen chaar karte
panw mein chhaale sajae
pani ke chand ek qatre DhunDte
qadam aage baDhae ja rahe the
lahu ki tez baDhti gardishen
maddham se maddham-tar hi hoti ja rahi thin
zindagi madum hoti ja rahi thin
achanak hairaton mein Dub kar hum ne ye dekha
ek baDi jadu bhari si jhil hai
jis mein ki ta-hadd-e-nazar
qaus-o-quzah ke rang bikhre hain
ubharti Dubti lahren
baDa jadu jagati raqs karti
nachti lahren
samundar sabz lahren nilgun lahren
safed aur champai lahren
aur un ke bhi siwa
baDi hi siyah gahri surmagin lahren
jhil ki lahron ka jadu
ruh ko sarshaar sa karta raha
zist ke gham ka mudawa ban gaya
kinare baiTh kar
us jhil ke pani mein hum ne der tak jhanka
KHud apne aap se milte rahe
KHud apne aap ko pahchanne ki koshish karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.