renge lamhon ka KHauf
maiñ atom-bomb ke Dher pe baiThā soch rahā thā
ye raushniyoñ aur rañgoñ kā sailāb-e-ravāñ
ye resham ke lachchhoñ aisā narm badan
ye barf ke gaale se is nanhe seb kī niiñd
ye us kī farishtoñ jaisī māsūmāna hañsī
ye gandum ke dānoñ se nanhe nanhe daañt
ye kaliyoñ kī mānind tar-o-tāza ruḳhsār
ye gesūñ kī ḳhushbū se nā-vāqif naak
ye cigarette ke dhueñ se begāna dahan
ye mere apne dil sī kushāda peshānī
ye sub.h kī pahlī kirnoñ jaise us ke baal
ye sab kuchh us kā apnā hai lekin phir bhī
ye sab kuchh āḳhir kab tak us kā apnā hai
ye merā apnā ḳhuun hai mere hāthoñ meñ
yā merī sahmī sahmī be-ḳhvāb āñkhoñ meñ
ye mustaqbil kā koī bhayānak sapnā hai
maiñ ḳhud apnī hī sochoñ ke par noch rahā thā
maiñ atom-bomb ke Dher pe baiThā soch rahā thā
main atom-bomb ke Dher pe baiTha soch raha tha
ye raushniyon aur rangon ka sailab-e-rawan
ye resham ke lachchhon aisa narm badan
ye barf ke gale se is nanhe seb ki nind
ye us ki farishton jaisi masumana hansi
ye gandum ke danon se nanhe nanhe dant
ye kaliyon ki manind tar-o-taza ruKHsar
ye gesun ki KHushbu se na-waqif nak
ye cigarette ke dhuen se begana dahan
ye mere apne dil si kushada peshani
ye subh ki pahli kirnon jaise us ke baal
ye sab kuchh us ka apna hai lekin phir bhi
ye sab kuchh aaKHir kab tak us ka apna hai
ye mera apna KHun hai mere hathon mein
ya meri sahmi sahmi be-KHwab aankhon mein
ye mustaqbil ka koi bhayanak sapna hai
main KHud apni hi sochon ke par noch raha tha
main atom-bomb ke Dher pe baiTha soch raha tha
- Book : Nuquush (Pg. 482)
- Publication : Idara-e-Frog-e-Urdu, Lahore (1985, Issue No. 132 )
- Edition : 1985, Issue No. 132
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.